Kya hi Muqaddar wala hai Jo unka matwala hai Mera kamli wala aaqa Har baala se baala hai Jalwae qodrat Ka parto Har soo kamli wala hai Mere gale meein ay mere aqaa Tere naam ki maala hai Mein hoon kamli wale kaa Mera kamli wala hai Shaikhe Kareem bacha lijie Aasi doobne wala hai
Mere dil de werhe, udikan de dere Te hanjoa de dive, akhan de banere Ay sunji haveli, te dukhan de saaye Kadi aa mukao, ghama de hanere Ae dunya di dal dal, Choun kad ke te molaa Naseeban’ach likh de, madine de phere Moafi mile gi, dare mustafa te Nadamat de athroo, wagawan di dher ay Ita,at Mustafa di, Ita,at Khuda di Ae farmaya rabb ne, jo tere o mere Riaz ae madeena, di koil je howan Karan oth ke koo koo, swere swere
Salallaho Alayka Ya Rasul Allah! Wa Sallam Alayka Ya Sayyedi Ya Habeeb Allah! Mayoosi Ki Kari Dhoop Ne Jab Mujh Ko Sataya, Tab Aap Ki Rehmat Ne Diya Mujh Ko Saaya, Rehna Hai Ab To Is Saaye Mein, Mujh Ko Har Pal Sadaa, Salallaho Alayka Ya Rasul Allah! Wese To Mujh Pe Hein Kiye Rab Ne Kai Ehsaan, Lekin Jis Ehsaan Se Pehchan Mili, Mili Shaan, K Kiya Us Ne Mujhe Aap Ki Ummat Mein Paida, Salallaho Alayka Ya Rasul Allah! Jab Se Aap Ka Noor Utra Is Dil K Andar, Tab Se Yeh Dil Hai Ban Chuka, Muhabbaton Ka Ik Samandar, Noor-e-Muhammad Ne Nafraton Ko Dil Se Diya Mitaa, Salallaho Alayka Ya Rasul Allah! Hai Mili Mujhe Aap Hi Se Har Mor Pe Rehnumai, Jab Bhi Mein Bhoola Raasta, Aap Hi Ne Raah Dikhai, Samajh Na Aaye K Aap Ka Karun Kese Shukar Adaa, Salallaho Alayka Ya Rasul Allah! Hojatay Hein Gunah Bhi,...
Bari shaan waala, madine ke waali Bare se bara, jin ke dar ke sawali Farishte bi meri, jabiin choomte hain Mein jab choomloun unke roze ki jaali Jahan mein anokha, hai unka madina Zaamane mein hain, unki choukat nirali Mile unki rehmat ki khayraat sabko Geya koi bi unke dar se na khaali kahan yeh huzoori, kahan mein zuhoori mein adna se adna, wo aali se aali
Gham e hijre mustafa Mein, meri jaan sulag rahi hai kabhi unki ho ziyarat, yahi lo lagi hui hai teri yaad mera imaan, tera zikr zindagi hai mujhe dard se nawaza, teri banda parwari hai mein chala hu apne ghar se, yehi souch kar madine mera kaam justujoo hai, tera kaam rahbari hai na hua hai koi tujhsa, na jahan mein koi hoga tu habibe qibria hai, tujhe zeb sarwari hai mujhe ay fida yakeen hain, kabhi deed unki hogi mera dil tarab raha hai, meri aankh mein nami hai
Jo hijr e nabi mein rote hain wo dar pe bhulay jaate hain deedar ki nimat milti hai har shay jo lutay jaate hain sarkaar ki pyaari ghaliyoun mein kya lutf hai unki taliyoun mein jibril ameen se poocho zara jo lutf uthaay jaate hain sarkaar ki midhat ka yeh sila deta hai mujhe youn mera khuda mein naate nabi jab parta/sunta hu mere ayeb mithay jaate hain mein naate nabi jab liktha hun jibril madad ko aate hain touseef nabi ke yeh unwaan jannat se mangwaay jaate hain