Large Category

Meri Jholi Mein Rehte Hain Saada

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Azal Se Kha Raha Hai Yeh Gada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Parri Hai Kya Mujhe Shahoon Ke Dar Se Ja Ke Main Mangoon Khilata Hai Mujhe Mera Khuda Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Mere Raste Ki Har Mu...

Muhammad Nabiyyina (Urdu Version)

Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Nabiyyina, Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Nabiyyina, Ya Shahe Madina, Ya Shah-e-Madina Teri judai mein pal pal jalta hai yeh seena, Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tez bohat hai dhaara, Mera koun sahaara, Kar do ek ishaara, Toofan banne kinaara Tere hawale hai Aaqa, yeh mera safeena. Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Waqt-e-naza jab aa jaaye, Mujh pe karam yeh ho jaaye, Aal-e-Aba ke ho saaye, Naam Tera lab pe jab aaye, Mohsin ko ho jaaye ata, bas Khaak-e-Madina. Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada, (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh betaab nigaahein, Har damm ashq bahaaye, Dil deta hai sadaaye, Qadmon mein bulaaye, Ga...

Mustafa Ka Khuda Aur Khud Mustafa

Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka khuda aur khud mustafa. Kyun kahun mera koi sahara nahi. Unke dar ka gada aur mayoos ho, mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko yeh gawara nahi. Main Madine se lekin bohat door hoon, yeh khalish mere dil ko gawara nahi. Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kyun kahun mera koi sahara nahi. Aap ka ishq hai ishq-e-Rabb-ul-‘ula, aap ka zikr hai khaas zikr-e-Khuda. Khud Khuda ka yeh qur’an mein elaan hai, jo Tumhara nahi woh hamara nahi. Mustafa ka khuda aur khud Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kyun kahun mera koi sahara nahi. Wohi Roze pe bulwaenge eik din, sabz Gumbad bhi dikhlaenge eik din. Apne Roze pe bulwaenge eik din. Ae sikandar zara sabr se kaam le. Unke dar ka ga...

Mustafa Se Jab Tumhara Silsila

Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se jab tumhara silsila mil jayega Khud ba khud aye dhoonde wale Khuda mil jayega Kya bataoon Unke darr pe jaa ke kya mil jayega Jo tallab hogi, tallab se bhi siwa mil jayega Unke sadqe main Khuda se maang kar dekhe koi Mudda’i ke lab hilenge mudda’a mil jayega Gham nahi gumm ho bhi jayein, rahe firdous-e-bari Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka naam loonga, raasta mil jayega Naam Unka waqt-e-muskhil le ke dekho to zara Na-umeedi mein bhi dil ko aasra mil jayega Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se jab tumhara silsila mil jayega Khud ba khud aye dhoonde wale Khuda mil jayega

Dil Pe kalme Ki Zarb laga, la ilaaha illa Llah

Dil pe kalme ki zarb laga, la ilaaha illa Llah dil ke marz ki, hai yeh dawa, laa ilaaha illa Llah sab kaynaat da khaliq Allah, tera mera malik Allah Sab ka raaz hai eik khuda, Laa ilaaha illa Llah Us ka har dam zikr kiya kar, apni mout ka zikr kiya kar Akhir tera maqaam banaa, laa ilaaha illa Llah our zikr to subho shaam kiya kar, har waqt us ka naam liya kar uske naam mein kitna mazaa, laa ilaaha illa Llah

Alwada Alwada Mahe Ramazan

Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan. Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha, Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha, Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba, Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan. Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain, Aah Issiya He Main Din Katain Hain, Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo, Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo, Yehi Hai Mera Kul Asasaaa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Jub Guzar Jayenge Mah Giyara, Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga, Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi, Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee, Sub Sama Hogaya Suna Suna, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai, Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain, Keh Raha Hai Har Aik Qatra, Alwada Alwada ...