Madinah deykhney ki aarazu hai meray seenay mein Ilahi! woh ghadi aaey keh mein pohonchun Madiney mein Hai mukhda wa-Duhah ka, zulf hai wal-Layl ki Teri Ghulaab-o-mushk sey barh kar hai bu Teray paseenay mein Karein gey mujh sey aasi par bhi woh lutf ki baarish nah tha yeh qiyaas mein meray, nah tha meray qareeney mein Makeen-e-Ghunbad-e-Khazra! (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bula lo Apney qadmon mein Teri doori key nishtar rowz-o-shab chubhtey hein seenay mein Hun baada-e-khwaar Abid aur mey khanah ho woh jis mein ho Saaqi, saaqi Kauser mazah aajaaey peenay mein
Meri jholi ko bhar day eh khuda sadqay Muhammad(salla Llahu ‘alayhi wa sallam)kay Gunahgaron ka bhi kar day bhala sadqay Muhammad kay Hamaray haal pay daata karam apna sada rakhna Tuhi sheytaan say imaan walon ko bacha rakhna Har ik tufaan mayn dayna aasra sadqay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay Samajhti he yay dunya apna ham iman day dayn gay Magar iman ki khaatir ham apni jaan day dayn gay Hamay iss aazmaish say bacha sadqay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay Tayri rahmat ko ro ro kay ham aey malik jaga dayn gay Yay parday aasman kay ham dua-on say ghira dayn hay Hame noor e khuda say phir mila sadqay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay Jahan mayn bay saharon ko faqat tayra sahara he Nahiin he koii bhi apna bas ik tu hi hamara he Jo ...
Madine ko jaaen yeh jee chahta hai Muqaddar banae yeh jee chahta hai Madine ke Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) do alam ke Mawla Tere pas aein yeh jee chahta hai Jahaan dono alam hai mahu taman’na Wahaan sar jhukane ko jee chahta hai Dilaun se jo nikle Diyare Nabi me Sune woh sadein yeh jee chahta hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki batein Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Sirat Sune aur sunae yeh jee chahta hai Dare Pak ke saamne dil ko thame Kare hum duain yeh jee chahta hai Pahunch jae behzaad jab hum Madine To khud ko na payein yeh jee chahta hai
Madinay bula lo Madinay key waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh peyghaam ley ja saba jatay jatay HaN peygham lana meri haazri ka Barahey karam mehrbaN atay atay Teray dar peh aauN mey ban kar sawli Rahey saamney Teray Rowzay ki jali GhareeboN key Mowla yateemoN key waali Bari deyr kar di bulatay bulatay Idhar bhi nighahey karam ho Khudara Kabhi to muqadar ka chamkey sitara Meri umr guzri Teri barghah mey DuaoN ka daman bichatey bichatey Mey Teri sakhawat peh qurbaan jaun Mey kyun na Teray Dar peh daman bichauN Teray haath thaktey nahi Kamli waley Karam key khazaney lutatey lutatey Muqdar mey meray bhi aysi gadi ho Fizaey Haram ho diyare Nabi ho Darey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) peh meri haazri ho Nadamat keh ansuN bahatey bahatey Kabhi khanaey dil mey tashreef...
Manqabat Shaan e Imam e Azam Abu Haneefa RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hum Aaimmah ke muqallid hain tamaam Hai Imamaun ka hamay bhi ehteraam Har Imam e waqt ne Deen ke liye Waqf ki hai jaan apni la kalaam Hai jahaan mein Hazrath Numaan bhi Mazhab Hanfi ke sar-kirdah Imaam Aapne chaha yehi aik aik pal Sur-khuru ho Ummate Khairul Anaam Ijtihaad aisa kiya Ai marhaba Mujtahid ho kar raha duniya me naam Masle tishnah na chore Aap ne Hal kiye uljhe huwe thay jo tamaam Waqt ke aahang ne Azam kaha Aap ko to Aey fiqiyah wa Ai Imam Faiz paya Aap se ahnaaf ne Wo saher ho ya ke ho wo koee shaam Nazar karna hai yeh mukhtaar e hazeen Aap ko Aye ABu Haneefa As-Salaam
Mere Sarkaar mere ghar ko sajaaney aaein Dil ki duniya main woh anwaar lutaane aaein Joh khazaan daar parhaa rotaa hai ik jhoownke ko Us kii jaanib bhii bahaaron keh zamaane aaein Shiddat e peyaas hai ik bosyah e paa ki jin ko Aese peyaason ko bhii diidar karaane aaein Taab e furqat bhii qiyamat hai mujhe wasl keh baad Woh mere ghar seh nah jane keh bahaane aaein Jin keh biimar ho muddat se woh aein ge zuruur Un kii galiyon seh hawaaein yeh bataane aaein Jin ki umeed peh tufano main ham kud parhe Naa khuda kashtiyon ko paar lagaane aaein Raat bhar yaad sitaaron neh keyaa ro ro kar Kaash woh chand merii bazm sajaane aaein Aey Madinay keh musaafir dar e jibriil keh paas Kehnaa gham khaar seh ham haal sunaane aaein