Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain Sach bataana array duniya tera kya letay hain Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag Ham gham e Ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa meray Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain Gumbad-e-Khazra KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen) Dekh letay hain Tujhay pyaas bujh...
Aey ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meray dil mein bhi sama jaana Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana Mujh ko bhi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka deewanah bana jaana Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki hasrat to rahe baaqi Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana Daagh-e-gham-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sey seeneh ko sajaa jaana
gham hogaye be shumar Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) banda tere nisar aqa bigra jata hai khel mera aqa aqa sanwar aqa majboor hai ham to fikr kia hai tum ko to hai iqtiyaar aaqa mai dur hoo tum to ho mere paas Sun lo meri pukaar aqa mujh sa koi gham zada na hoga tum sa koi gham gusar aqa manjhdaar pe aake naw tuti de haat ke hoo mai paar aqa halka hai agar hamara palla bhari hai tera viquar aqa tuthi jaati hai pith meri lillah ye boj utar aqa jis ki marzi khuda na taali mera hai wo namodar aqa kiya bhul hai inke hote kaha laiq duniya ke ye tajidaar aqa un ke adni gadha pe mit jaye aise aise haazar aqa itni rahmat RAZA pe karlo la yaqrubu hul bawar aqa
Ghul utha hai chaar soo, phir Amad e Ramadaan hai Khil uthay mur jhae dil, taza huwa Imaan hai Ya Khuda hum aasiyaun par, yeh bada ehsaan hai Zindagi me phir ata, hum ko kiya Ramadaan hai Tujh pay sadqe jaoon Ramadaan! Tu Azeemush shaan hai Ke Khuda ne tujh me hi, Nazil kiya Qur’an hai Abre Rehmat chaa gaya hai, aur sama hai noor noor Fazle Rab se maghfirat ka, ho gaya samaan hai Har ghadi Rehmat bhari hai, har taraf hai Barkatein Mah e Ramadaan Rehmataun aur Barkataun ki kaan hai Agaya Ramadaan, Ibadat par kamar bandh lo Faiz le lo jald ke, din tees ka mehmaan hai Aasiyaun ki maghfirat ka, lekar aya hai paighaam Jhoom jao mujrimo! Ramadaan me ghufraan hai Bhaiyo Behno karlo, gunahaun se tauba ke ab Pad gaee dozakh pay, taalay qaid me shaitaan hai Sunnate sab jhoom kar, apnate jao bh...
Fazl-E-Rabbul ula aur kya chaahi-ay Mil ga-ay Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aur kya chaahi-ay Daaman e mustafa jiss kay haathon mayn he Uss ko roz e jaza aur kya chaahi-ay Gumbad e sabz khuabon mayn aanay laga Haazri ka sila aur kya chaahi-ay Bheek kay saath hii un kay darbaar say Mil rahii he dua aur kya chaahi-ay Yay jabeen aur riyaaz ul jannah ki zameen Ab qaza kay siwa aur kya chaahi-ay Hesikandar sana khuan shaah e umam Izzat o martaba aur kya chaahi-ay
Faisla Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka hai Sunni bakhshe jaenge Garmee Qayamat se hum najaat Paenge Jitne hai a’ado Pyare Sarware do Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Atish e jahannam me woh jalae jaenge Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri Qabr me mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)muskurate aaenge Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko Apne Daste Aqdas se Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pilate jaenge Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.