Tu ne batil ko mitaya hai imam ahmed raza deen ka danka bajaya hai imam ahmed raza dour-e-batil aur zalalat hind me tha jis ghadi tu mujadded ban ke aaya ae imam ahmed raza ahle sunnat ka chaman ujda huva veeran tha pheer utha tu jab ke aaya ae imam ahmed raza tu ne baatil ko mita kar deen ko baqshdi jila sunnato ko phir jilaya ae imam ahmed raza ae imam ahle sunnat naibe shahe umam kijiye ham par bhi saya ae imam ahmed raza hashr tak jari rahega faiz aqa aap ka faiz ka dariya bahaya ae imam ahmed raza
Eid-e-Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka zamanah aa gaya lab peh khushiyon ka tharana aa gaya har sitarey ko mili hai roshani har kali ko muskurana aa gaya har tharaf Salli ‘ala ki dhoom hai wajd mein sara zamana aa gaya parcham deen Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ho buland kafir ko gardan jukana aa gaya kyun na ho qismat key maron paas rehmat ka khazana aa gaya Aaj chamkado dar-o-deewar ko aashiqon ka din suhana aa gaya Shaad hunton peh hai naat Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) haath bakhshish ka bahanah aa gaya
Aey Mawla, ik baar dikhadey Jalwa Kamli waley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Tan man wara jis ney deykha chehra Kamli waley ka Ghaus Qutb Abdaal Kalandar, sab Unkey gun gaathey hai Farshain zameen par arshay bareen par, charcha Kamli waley ka Qabr mey jab poonchein gey farishtey apna ta’ruf peysh karo Tho keh dun ga unsey, keh mey hun mangta pyaray Aqa ka Har neymat deyta hai Khuda, par waar keh Un par deta hai Khataa hai alam sara sadqah Kamli waley ka Ho gi talab meri yeh puri, duur woh karein gey wo duuri Insha’Allah ham deykhein gey Rowza Kamli waley ka
Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn Nawazishon par nawazishayn heyn inaayaton par inayatayn heyn Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn Kahiin pay ronaq he mekashon ki kahiin pay mehfil he dil jalon ki Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mehfil saja rahay heyn Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn Khaan ka mansab kahaan ki dolat qasam khuda ki yay he haqiqat Jinhayn bulaya he mustafa nay wohi madinay ko ja rahay heyn Habeeb e daawar ghareeb parwar Rasool e akram karam kay pekar Kisi ko dar pay bula rahay heyn ...
Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey Sardaare do ‘aalam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ta’ziim keh kiyaa kehne Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey
Dar peh bulaao, Makki Madni (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) BigRi Banaao, Makki Madni Deed Teri hai, eid meri Deed karaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mehshar may ho lab peh meray ‘Mujh ko Bachaao, Makki Madni’ Dar peh bulaao, Makki Madni Apnay nawasoon kay sadqay Dukhray mitaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Gumbad-e-Khazraa ke saae tallay Mujh ko sulaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mangta hoon mein sawaali hoon. Ishq-e-Nabi ka pujari hoon Thokarein khaata hoon dar dar ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Har saans mein Madina hai. Muskhkil ab mera jeena hay Dil mein tamanna hai Taiba ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Barsoon say akhiyaan tarsee Jalwaa dikhaao, Makki Madni Dar peh Bulaao, Ma...