Dil ko unke se Khuda juda na kare Bay kisi loot le Khuda na kare Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf Hosh me jo na ho woh kya na kare Ye wahi hai ke bakhsh dete hain Kaun in jurmaun par saza na kare Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab Aah E’saa agar dawah na kare Dil kahaan le chala Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na kare A’zr ummed a’fwu gar na sune Roosiyah aur kya bahana kare Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kaash josh e hose hawa na kare Hashr me hum bhi sair dekhinge Munkar aaj Unse ilteja na kare Za’eef mana magar yeh zalim dil Unke raste me to thaka na kare Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna Wahi achcha jo dil bura na kare Lay Raza sab chale Madine ko Mai na jaoon aray Khuda na kare
Rangiiniiay gulaab na gulzaar chaahiiay Taiba kay dasht ka mujhay ik haar chaahiiay Dunya na mujh ko maal ka anbaar chaahiiay Chashm e karam huzur ki ik baar chaahiiay Kaaba ki azmatein mujhay tasleem heyn magar Mayrii jabeen ko kucha e sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay Yay aarzu e dil he ada yuun namaaz ho Sajdon kay waastay tayra darbaar chaahiiay Yusuf sa maalka bhi kehta zuroor aaj Biknay kay waastay tayra bazaar chaahiiay He khuld ki talab na kisi huur say gharaz Mujh ko huzur (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aap ka deedaar chaahiiay Un kay gunahgaar ko to chaahiiay karam Un kay karam ko to bhi gunahgaar chaahiiay Daykhay to sirf aap ko daykhay na gheyr ko Mujh ko esi nazar shah e abraar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay
Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko Ke karbala me kata kar apne sar ko Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Qurbaan kar diya apne nane se asghar (radi Allahu ‘anhu) ko Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya Hussain (raziallahu tala anhu) Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko Duaa kar dete Hussain (radi Allahu ‘anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain (radi Allahu ‘anhu) ko Maan najdi yazid ku...
Badi shay hai nisbat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hai waseela apni najaat ka Shah-e-ambiya ki jo Aal hai, Barha uska jaah-o-jalaal hai, Nahin uski koi misaal hai, Wo habib-e-haq ka jamaal hai, Nahin kaal is mein ye haal hai, Mila usko kaisa kamaal hai, Ye Khuda-e-pak ki hai ataa, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam, Barhe muttaqi barhe nek naam, Wo hain badshah to hain hum ghulam, Bane unke madhha tara tamaam, Barha uncha har ek ka hai maqaam, Hue pehle hazrat Ali Imam, Jinhe sab ne Asadullah kaha, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Hain Hassan Imam Hussain bhi, Hain Ali Raza wo Naqi Taqi, Hain Imam Baqir-o-Kazmi, Kahin Abdi kahin Ja’fari, Koi Mahdi koi hai Askari, Hai har ek Rasool ki raushni, Mili unse duniya ko hai zia, Badi shay hai nisbat-e...
Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi Nazron mayn Mustafa ki gali thi abhi abhi Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay Taibah say dil ddoar hili thi abhi abhi Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi Shabbir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi
BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN SAJAYE BAITHHA HOON EK JALVA ZAAR AANKHON MAIN DIAR-E-PAK KA HER MANZAR-E-HASEEN-O-JAMEEL RUHAY GA KA’BA QAZA YAD GAR AANKHON MAIN BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN ATA KIA JO MADINAY KE BASION NAY MUJHE MEHAK RUHA HAY AB TAK VOH PIAR AANKHON MAIN. AB ISS SAY BARH KE KOI SURMA AUR KIA HO GA? SAMAIT LAYA HOON MAIN KUCH GHUBAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN BAGHAIR DEKHE MADEENA INHAIN NAZAR AAYA HAIN MUNFARID MERI AANKHAIN HAZAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABI KA DIAR AANKHON MAIN TARAP HAY DIL MAIN MADEENAY KE JALVA ZARON KEE! AUR INTIZAR-E-SAFAR BAYQARAR AANKHON MAIN. BASA HUVA HAY NABEE KA DIAR AANKHON MAIN SUNAOUN GA VOH KAHANI HUZOOR KO JA KER CHCHUPAYE BAITHA HOON JO ASHKBAR AANKHON MAIN HAY E’ETMAD BHE...