Large Category

Madine paak vich mera wi ghar honda

Madine paak vich mera wi ghar honda tey thand pain di Dare sarkar tey mera wi sarr honda tey thand pain d Main harr dam wekhda rehnda rasule paak da roza Main harr dam Aap di peshe nazar honda tey thand paindi Jadon wi chahnda mein sohne de qadman vich chala jana Duavan meriyan vich kuch asar honda tey thand paindi Qasam Rab di Madine dey nazare wadd ne jannat ton Jidhar rehnda main thand paindi udhar rehnda tey thand paindi Durudan tey dalaman di asi mehfil saja ne han Kadi sarkar da ethon guzar honda tey thand paindi.

Khuda ki nazron mein rehta

Khuda ki nazron mein rehta Mere sarkar ka chehra Voh Noor e haq ka hai jalwa Mere sarkar ka chehra Yahi hai rashk e mehruma Yehi to hai shahe khuban Hasinon se hasin chehra Mere sarkar ka chehra Hue ummat mein voh a’la Sahaba ban gaye voh to Jinhon ne ankhon se dekha Mere Sarkar ka chehra Bhala chehre ko kya dekhun Harr ik tashbeeh se ba ala Mere sarkar ka chehra Qasam hai husne yusuf ki Jahan bhar mein nahi koi Misal aisi jawab aisa Mere sarkar ka chehra Bilal e habshi kaba ki Chat per rukh kahan karte Azan dene ka ab qibla Mere sarkar ka chehra Nakeeron ne jo pucha Qabr mein yeh kis ka jalwa hai Ujagar jhoom kar bola Mere Sarkar ka chehra

Baat kar Madine ki

Baat kar Madine ki Zikr kar Madine ka Ik yehi Sahara hai is jahan mein jiine ka Voh Tujhe bachaenge Paar bhi lagaenge Un pey chor dey kashti Ghum na kar safine ka Kiun bhatakta phirta hai Puch apne murshid se Voh bataen ge tujhko Raasta Madine ka Aap ke qadam jab se Aye hain Madine mein Zarra zarra roshan hai Aaj bhi Madine ka Ey Aleem chal tu bhi Rah ley Madine ki Bas vahin se milta hai Raaz harr khazine ka —- Yaad e mustafa aisi Mushk mein na ambar mein Aur na gule tarr mein Hum ne jo mehak payi aap ke Pasine mein Kon si jagah unke Fikr kya talatum ka khof kya hai tufan ka Naam e Mustafa likh kar Daal dey Safine mein

Tamanna e Madina

hai itni shadeed ab to tamanna e Madina har sans se aati hai sada haaye Madina raiyan jaandeyan shehr madine nun sarkar deya mehmano lae pegham mera wi jawin nale hanjuan da nazrana aakhin har sans se aati hai sada haaye Madina ae baad e saba pegham mora sultan e Madina ko dijo ke har sans se aati hai sada haaye Madina bimaar ko ghaflat hai behosh si taari hai aur har saans se aati hai sada haaye Madina kadi ave ga din ya rab jadon bat-ha nun jawan main kadi tehran main makke wich madina ghar banawan main na khwahish khuld di dil wich na hooran di talab mainu eho kaafi ae jannat tere kuche nun banawan main Madine waleya main nun wikha rasta adine da bana ke pair akhiyan nun te sir de bhaar aawan main har saans se aati hai sada haaye Madina Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mere Aqa...

taron mein roshni mere Nabi se hai

taron mein roshni mere Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se hai chanda mein chandi mere Nabi se hai kaliyon mein tazgi mere Nabi se hai phulon mein dilkashi mere Nabi se hai roshan jahan tha kal bhi huzoor se yeh noor aaj bhi mere Nabi se hai rangeen yeh jahan tha kal bhi huzoor se jannat ka husn bhi mere Nabi se hai chumein na kyon qadam kaba bhi shauk se nisbat Bilal ki mere Nabi se hai woh jo na hon to kuch bhi na ho jahan mein dunya mein zindagi mere Nabi se hai farooq kyoun kahon main khud to kuch nahi izzat hai jo meri mere Nabi se hai

Zulf e sarkar se jab chehre nikalta hoga

Zulf e sarkar se jab chehre nikalta hoga Phir bala kaise koi chand ko takta hoga Maa haleema yeh bata tune to dekha hoga Kaise mehboob mera tujhse lipattha hoga Jab kabhi Aap andhere mein nikalte honge. Shabb-e-tariqi mein khusheed chamakta hoga. Kisko maloom nahin taiba se judaai ka assar Ke shaam ko shams bhi rota hua dhaltha hoga Kaabil e rashk hai siddique wo aansoo tera Ghaar mein aap ke rukh par jo tapakta hoga Aur haakim uss dil ko to bas tes na pohnchegi kabhi Yaad e sarkar mein har pal jo dhadakta hoga Raaz chanda ke haseen hone ka ab main samjha Ke khaak e nalain ko chehre pe wo malta hoga