Large Category

Lam Yaati Naziiru Kafi Nazarin

Lam yaati naziiru kafi nazarin mislay to na shud peda jaana Jag raaj ko taaj toray sar sohay tujh ko shahay do saraa jana Al bahru ala wal mowju tagha man baykas o tufaan hoash ruba Manjdhaar mayn huun bigrri he hawa mori nayya paar laga jaana Ya shamsu nazar ti ilaa leyli chuba teyba rasi arzay bakuni Tori joat ki jhaljhal jag mayn rachi mayri shab nay na din hona jaana Laka badrun fil wajhil ajamal hat haala e mezulf abr e ajal Toray chandan chandar par wo kundal rahmat ki barsan barsa jaana Ana fi ata shiunw wasahaka atam eh gaysu-ay paak eh abr e karam Barsan haaray rim jhim rim jhim do buund idhar bhi ghiraa jaana

Bulalo Phir Mujhay

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah Kadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

Mangton Ko Sultan Banaya

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se Aminah (radi Allahu ‘anha) tera gher chamkaya mere kamli walay ne Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne  

Mayri baat ban gaii he

Mayri baat ban gaii he tayri baat kartay kartay Tayray shehr mayn meyn aa-oon tayri naat parrtay parrtay Tayray ishq ki badolat mujhay zindagi mili he Mayray paas bhi he aaii mayri moat dartay dartay Kiss cheez ki talab he na he aarzoo hi koii Toon nay itna bhar diya he kashkol bhartay bhartay Mayray soonay soanay ghar ko kabhi naymatayn ataa kar Meyn divana ho gaya hoon tayri raah taktay taktay Meyn na ja-oon ga o darbaar kabhi chhoarr kar yay galiyaan Kay, meyn poancha hoon yahaan tak mayray yaar martay martay He jo zindgaani baaqi yay irada kar liya he Tayray mukiron say aaqa meyn maroon ga larrtay larrtay  

Chour fikr dunya ki

Chour fikr dunya ki chal madinay chaltay heyn Mustafa ghulamon ki qismatayn badaltay heyn Naqsh kar lay seenay par naam sarwaray deen ka Yay wo naam he jiss say sab azaab ttaltay heyn Sirf saari dunya mayn wo heyn kucha-ay ahmad Jiss jaga bhi ham jesay khhotay seekay chaltay heyn Aamina kay paalay ka kali kamli walay ka Jashn ham manatay heyn jalnay walay jaltay heyn Ham ko roaz milta he sadqa kamli walay ka Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay ttukron par khush naseeb paltay heyn Rahmaton kay sa-ay mayn saatth saatth chaltay heyn Mustafa kay deevanay ghhar say jab nikaltay heyn Naat e mustafa sunn kar aag sard hoti he Zikr e mustafa sunn kar sangay dil pigaltay heyn  

Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri

Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri Jholiyan Khol Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye Hamein Malum Hai Daulat Teri, Aadat Teri Humen Malum Hai Ke Wah Kiya Joodh-o-Karam Hai Shahe Bat’ha Tera Ke Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Wala Tera Tu Jhooliyan Khool Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye Humen Malum Hai Daulat Teri Aadat Teri Tu Hi Hai Mulk-e-Khuda Milk-e-Khuda Ka Malik Raaj Tera Hai Zamaane Main Hukumat Teri Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri Majma-e-Hashr Main Ghabrayi Hoi Phirti Hai Dhoondne Nikli Hai Mujrim Ko Shafa’at Teri O Chain Paayen Gay Tarapte Howe Dil Mehshar Main Gham Kisse Yaad Rahe Dekh ke Soorat Teri Dekhne Waale Kahan Karte Hain Allah Allah Ke Yaad Aata Hai Khuda Dekh Ke Soorat Teri Aur Hum ne Mana ke Gunahon Ki Nahi ...