kya hai kisi se kaam tumhein dekhne ke baad
sab ko mera salaam tumhein dekhne ke baad
koi tabeeb bhi mera karta sada ilaaj
bas aa gaya araam tumhein dekhne ke baad
lakhon haseen samne par nigah na hum ne ki
aankhon ko sii liya hai tumhein dekhne ke baad
meri raah-e-hayat ke dushwaar marhale
hal ho gaye tamam tumhein dekhne ke baad
hum aa ke tere shehr (aastane) mein wapis naa jayein ge
yeh faislah kiya hai tumhein dekhne ke baad