Allah kare ke ho jaaye guzar Taiba ki galliyon se.
Main saari zindagi kar doon bassar Taiba ki galliyon mein.
Hua jo Aamina Bi ki goad mein Tera zahoor Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Khud Jibriel ne yeh di khabbar Taiba ki galliyon mein.
Jo dekha Gumbad-e-khadra ke saaye mein kharre ho kar.
Jamaal-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aaya nazar Taiba ki galliyon mein.
Tere Darbaar ka darba banoo main bhi kabhi Aaqa.
Mere Dilbar mujhe bhi ho fakhar Taiba ki galliyon mein.
Hawaaein rehmaton ki wahaan subho o shaam chalti hain.
Barasta noor hai sham o sahar Taiba ki galliyon mein.
Tere dar ke galli kooche jo palkhon par uthaoon main.
Meri saari guzar jaaye ummar Taiba ki galliyon mein.
Jo tukre ho gaya tha mere Aaqa ke ishaare par.
najdi tum ne nahi dekha qamar Taiba ki Galliyon mein.
Du’a Rabb se yeh karta hoon subho se shaam ro ro kar.
Ali Akbar, teri bhi ho qabar Taiba ki Galliyon mein.
Allah kare ke ho jaaye guzar Taiba ki galliyon se.
Main saari zindagi kar doon bassar Taiba ki galliyon mein.
syeda-rukhsar
Aameen summa aameen khuda kare sarkar k tamam aashiq taiba ka didar karen aameen