Allah ne ye shaan barhaee Tere (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dar ki
Bakhshi hain Malaik ko gadaee Tere dar ki
Hooro ne Malaik ne ajinna ne bashar ne
Kis kis ne yahan na beek paee Tere dar ki
Paane ko to khursheed o qamar charkh ne paaye
To kya paaya agar khaak na paee Tere dar ki
Jannat ne utaare to bohat noor ke naqshe
Tasveer maghar haat na aayi Tere dar ki
Jab zulm karo jaan pe pohonch jao Madina
Quraan bhi karta hain baraee Tere dar ki
Sarkaar karam nazar e karam jae kidhar hum
Jaooka ne to rah dikhaee Tere dar ki
Mehshar me bhi is shaan se jae ga Munawaar
Rakhe hue kaande pe chataai Tere dar ki
Hain naaz muqaddar pe Ubaid e Razwi ko
Sarkaar mili is ko gadaee Tere dar ki