Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka
Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka
Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle
Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka
Nabiyouen mein jaise afzal-o-A’ala hai mustafa
Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka
Jab se qadam pare hai risalat ma’aab ke
Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka
Har zara zara apni jagga ma’ahataab hai
Kya jagma’ga raha hai Madina huzoor ka
Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq
Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka
Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par
Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka