Aye Bayabaan e Arab (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) teri baharo ko salam
Teri phoolo ko tere paakiza kharo ko salam
Jabal e Noor o Jabal e Sor aur un ke Gaaron ko salam
Noor barsate pahado ki qitaron ko salam
Jhomte hai muskurate hai Mugilaan e Arab
Khubsurat wadion ko regzaro ko salam
Raat din rehmat barasti hai jaha par jhoom kar
Un Tawaf e Kaaba ke Rangeen Nazaron ko salam
Sang e Aswad Baab o Mizaab o Maqam o Multazam
Aur Ghilaf e Kaaba ke rangeen nazaro ko salam
Khub chume hai qadam Sor o Hira ne shah ke
Maheke Maheke pyaare pyaare dono gaaron ko salam
Jagmagate Gumband e Khazra pe ho roshan durood
Masjid e Nabvi ke noorani minaaron ko salam
Mimbar o Mehraab e Jana aur sunehri jaaliya
Sabz Gumbad ke makeen ko dono pyaaro ko salam
Jis qadar Jinn o Bashar me the Sahaba Shah ke
Sab ko bhi beshak khususan chaar yaaro ko salam
Jis jagah par aake soye hai Sahaba das hazaar
Us Baqi e Pak ke saare Mazaro ko salam
Shoq e Deedar e Madina me tadapte hai jo un
Bekararo dil figaron ashkbaaro ko salam