Dar peh bulaao, Makki Madni (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
BigRi Banaao, Makki Madni
Deed Teri hai, eid meri
Deed karaao, Makki Madni
Dar peh bulaao, Makki Madni
Mehshar may ho lab peh meray
‘Mujh ko Bachaao, Makki Madni’
Dar peh bulaao, Makki Madni
Apnay nawasoon kay sadqay
Dukhray mitaao, Makki Madni
Dar peh bulaao, Makki Madni
Gumbad-e-Khazraa ke saae tallay
Mujh ko sulaao, Makki Madni
Dar peh bulaao, Makki Madni
Mangta hoon mein sawaali hoon. Ishq-e-Nabi ka pujari hoon
Thokarein khaata hoon dar dar ki. Dar peh bulaao, Makki Madni
BigRi banaao, Makki Madni
Har saans mein Madina hai. Muskhkil ab mera jeena hay
Dil mein tamanna hai Taiba ki. Dar peh bulaao, Makki Madni
BigRi banaao, Makki Madni
Barsoon say akhiyaan tarsee
Jalwaa dikhaao, Makki Madni
Dar peh Bulaao, Makki Madni
Asdi gunahoon mein dooba hua hai
Jaisa hay nibhaao, Makki Madni
Dar peh bulaao, Makki Madni
BigRi Banaao, Makki Madni
Dar peh bulaao, Makki Madni