Share This Post

Urdu Lyric

Dunya Ke Ae Musafir Manzil Teri Qabar Hai

Dunya Ke Ae Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai
Tai Kar Raha Hai Jo Tu, Do Din Ka Yeh Safar Hai
Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai

Dunya Ke Ae Musafir………

Jab Se Bani Hai Dunya, Lakhon Karoron Aaaye
Lakhon Karoron Aaaye
Baki Raha Na Koi, Mitti Main Sab Samaye
Mitti Main Sab Samaye

Iss Baat Ko Na Bhoolo, Sab Ka Yahi Hashar Hai
Manzil Teri Qabar Hai

Dunya Ke Ae Musafir………

Yeh Aali Shaan Bangle Kissi Kaam Ke Nahi Hain
Mehloon Main Sonay Wale, Mitti Main So Rahe Hain
Mitti Main So Rahe Hain

Do Gaz Zameen Ka Tukra Chota Sa Tera Ghar Hai

Manzil Teri Qabar Hai
Dunya Ke Ae Musafir………

Ankhon Se Tun Ne Apni Dekhe Kayi Janaze
Dekhe Kayi Janaze
Hathon Se Tu Ne Dafnaaye Kitne Murde
Dafnaaye Kitne Murde
Anjaam Se Tu Apne, Kiun Itna Tu Bekhabar Hai

Leave a Reply