Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Maut aaye dihaar-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein mujhe
Bas yehi eik armaan seene mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Jis se sharmaaye khushboo-e-baagh-e-janna
Woh mehek rooh-e-parwar paseene mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Chahta hoon jo Naazir madawa-e-gham
Woh Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mubarak kareemi mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
Eik ajab lutf is tarah jeene mein hai
Main yahaan hoon mera dil Madine mein hai
syeda-rukhsar
Subhanallah golden words about our sarkar e do jahan ..vry vry beautiful naath subhanallah
usman-e-gani
SUBHAAN ALLAH.
vahid-badi
Subhan allah…Dil tadap raha he,aqla planing karti he…Madine jane ke liye