Share This Post

Urdu Lyric

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hoti.

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hoti.

Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aggar karam se Taiba mujhe bulaate,
Roze par sadqe hoti, Unn par nisaar hoti.

Mar mitt ke khoob lagti mitti meri thikaane.
Gar Unn ki rahguzzar par, mera mizaar hota.

Bechayn dil ko ab tak samjha bujha ke rakha.
Baad iske ab to Aaqa nahin intezaar hota.

Woh bekasson ke Aaqa, bekass ko ghar bulaate.
Kyun sab ki thokarron par, parrh kar khwaar hoti.

Aaqa ab to bulwa lo, mujh si mujrim ko bhi paas Apne.
Main khud ko waar deti, bas khaak saar hoti.

Taiba main gar muyassar, do gazz zameen hoti.
Unn ke qareeb basti, dil ko karaar hota.

Aaqa ke qadmon mein gar, do gazz zameen hoti.
Unn ke qareeb basti, dil ko sukoon hota.

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hoti.

Share This Post

Leave a Reply