Main to khud Unke Dar ka gadda hoon,
Apne Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko main nazar kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai,
Warna qadmon mein aankhein bicha doon
Aane waali hai Unki tareekh,
Phool naaton ke ghar ghar saajja doon,
Mere ghar mein andhera bohot hai,
Apni palkon pe shamma jala doon
Rauza-e-pak peshe nazar hai,
Saamne mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Dar hai,
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai,
Tumko lafzon mein kaise bata doon
Mere aansu bahut qeemti hain,
Inse waabasta hai unki yaadein,
Inki manzil hai Khak-e-Madinah,
Ye gauhar yun hi kaise lutta doon
Main faqat Aap ko jaanta hoon,
Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon,
Is andhere mein kisko pukaroon,
Aap farmayein kisko sadda doon
Qaafilay jaa rahe hain Madine,
Aur hasrat se main tak raha hoon,
Ya lipat jaoon qadmon se unke,
Ya qaza ko main apni sadda doon
Meri bakhshish ka saamaan yahi hai,
Aur dil ka bhi armaan yehi hai,
Ek din Unki khidmat mein jaakar,
Unki naatein Unhi ko suna doon
Mujhko Iqbal Nisbat hai Unse,
Jinka har Lafz jaan-e-sukoon hai,
Main jahaan naat Unki suna doon,
Saari mehfil ki mehfil jagga doon
Main to khud Unke Dar ka gadda hoon,
Apne Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko main nazar kya doon
Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai,
Warna qadmon mein aankhein bicha doon