Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe
Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe
Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon
Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe
Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon
Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe
Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf
Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe
Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen
Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe
Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa,
Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe!
Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon
Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe
Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree
Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe
Keh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee
Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe
Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya
Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe