YA Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Noor e Mujassam ya Habibi ya Moulai
Taswir e Kamal e Muhabbat Tanwir e Jamal e Khudai
Tera was bayan ho kis se Teri (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kon karega bharai
Nabi ji, Teri kon karega bharai
Is gard e Safar mein gum hai Jibril e Amin ki Rasai
Teri ik nazar ke Talib Tere ik Sukhan par qurban
Yeh sab Tere diwane yeh sab tere sudai
Yeh rang e Bahar e Gulshan yeh gul aur gul ka jouban
Tere Noor e qadam ka dhoban us dhoban ki rounai
Ma ajmalaka Teri surat, ma ahsanaka teri sirat
Ma akmalaka Teri azmat teri zaat mein gum hai Khudai
Tu rayees e Roz e Shafa’at tu Amir e Luft o Inayat
Hai Adib ko tujh se nisbat yeh Ghulam hai, Tu Aqa’i
Fatima
i love this naat
md-ashraf
This is my one of the favourate naat..