Zulf e sarkar se jab chehre nikalta hoga
Phir bala kaise koi chand ko takta hoga
Maa haleema yeh bata tune to dekha hoga
Kaise mehboob mera tujhse lipattha hoga
Jab kabhi Aap andhere mein nikalte honge.
Shabb-e-tariqi mein khusheed chamakta hoga.
Kisko maloom nahin taiba se judaai ka assar
Ke shaam ko shams bhi rota hua dhaltha hoga
Kaabil e rashk hai siddique wo aansoo tera
Ghaar mein aap ke rukh par jo tapakta hoga
Aur haakim uss dil ko to bas tes na pohnchegi kabhi
Yaad e sarkar mein har pal jo dhadakta hoga
Raaz chanda ke haseen hone ka ab main samjha
Ke khaak e nalain ko chehre pe wo malta hoga