Alahazrat

Adha idhar adha udhar – Manqabat

Dung Hai sab dekh kar adha idhar adha udhar Ho Gaya pal me kamar adha idhar adha udhar Chand hi kya aasma ko bhi agar kehthe huzoor Wo bhi ghir ta toot kar adha idhar adha udhur Ala hazrat ke ghulamo se ulujna chor do Phek denge kaat kar adha idhar adha udhar Jab Raza ki uth gayi talwaar to phir kya huwa Ho gaya najdi ka sar adha idhar adha udhar Ik taraf makke ki sarhad ik taraf shehre nabi Kaash ho ta mera ghar adha idhar adha udhar Dushmanane Mustafa as-salatu wa s-salam ko dekh lena pul siraat Daal denga kaat kar adha idhar adha udhar

Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha

Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Ja...

Gham Hogaye Be Shumar Aaqa

gham hogaye be shumar Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) banda tere nisar aqa bigra jata hai khel mera aqa aqa sanwar aqa majboor hai ham to fikr kia hai tum ko to hai iqtiyaar aaqa mai dur hoo tum to ho mere paas Sun lo meri pukaar aqa mujh sa koi gham zada na hoga tum sa koi gham gusar aqa manjhdaar pe aake naw tuti de haat ke hoo mai paar aqa halka hai agar hamara palla bhari hai tera viquar aqa tuthi jaati hai pith meri lillah ye boj utar aqa jis ki marzi khuda na taali mera hai wo namodar aqa kiya bhul hai inke hote kaha laiq duniya ke ye tajidaar aqa un ke adni gadha pe mit jaye aise aise haazar aqa itni rahmat RAZA pe karlo la yaqrubu hul bawar aqa  

Ey Imam Ahmad Raza

Tu ne batil ko mitaya hai imam ahmed raza deen ka danka bajaya hai imam ahmed raza dour-e-batil aur zalalat hind me tha jis ghadi tu mujadded ban ke aaya ae imam ahmed raza ahle sunnat ka chaman ujda huva veeran tha pheer utha tu jab ke aaya ae imam ahmed raza tu ne baatil ko mita kar deen ko baqshdi jila sunnato ko phir jilaya ae imam ahmed raza ae imam ahle sunnat naibe shahe umam kijiye ham par bhi saya ae imam ahmed raza hashr tak jari rahega faiz aqa aap ka faiz ka dariya bahaya ae imam ahmed raza  

Dil Ko Unke Se Khuda Juda Na Kare

Dil ko unke se Khuda juda na kare Bay kisi loot le Khuda na kare Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf Hosh me jo na ho woh kya na kare Ye wahi hai ke bakhsh dete hain Kaun in jurmaun par saza na kare Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab Aah E’saa agar dawah na kare Dil kahaan le chala Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na kare A’zr ummed a’fwu gar na sune Roosiyah aur kya bahana kare Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kaash josh e hose hawa na kare Hashr me hum bhi sair dekhinge Munkar aaj Unse ilteja na kare Za’eef mana magar yeh zalim dil Unke raste me to thaka na kare Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna Wahi achcha jo dil bura na kare Lay Raza sab chale Madine ko Mai na jaoon aray Khuda na kare  

Lam Yaati Naziiru Kafi Nazarin

Lam yaati naziiru kafi nazarin mislay to na shud peda jaana Jag raaj ko taaj toray sar sohay tujh ko shahay do saraa jana Al bahru ala wal mowju tagha man baykas o tufaan hoash ruba Manjdhaar mayn huun bigrri he hawa mori nayya paar laga jaana Ya shamsu nazar ti ilaa leyli chuba teyba rasi arzay bakuni Tori joat ki jhaljhal jag mayn rachi mayri shab nay na din hona jaana Laka badrun fil wajhil ajamal hat haala e mezulf abr e ajal Toray chandan chandar par wo kundal rahmat ki barsan barsa jaana Ana fi ata shiunw wasahaka atam eh gaysu-ay paak eh abr e karam Barsan haaray rim jhim rim jhim do buund idhar bhi ghiraa jaana

Sarwar Kahoon Ke Maalik-o Mawlaa Kahoon Tujhe

Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa, Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe! Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe Keh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee Chup ho rahaa he keh ke main k...

Unki Mahak Ne Dil Ke Gujnche Khila Diya Hai

Unki Mahak Ne Dil Ki Gunche Khila Diye Hai Jis Raah Chal Diye Kunche Basa Diye Hai. Jab Aa Gayi Hai Joshe Rehmat Per Unki Ankhen Jalte Buja Diye Hai, Rote Hansa Diye Hai. Ek Dil Hamara Kya Hai, Aazaar Uska Kitna Tumne To Chalte Phirte Murde Jila Diye Hai. Unke Nisar Koi Kaisi Hi Ranj May Ho Jab Yaad Aa Gaye Hai Sab Gam Bhoola Diye Hai. Humse Faqir Bhi Abb Feri Ko Oothte To Honge, Abb To Gani Ke Dar Pe Bistar Jama Diye Hai. Asra May Guzre Jis Dam Baide Pe Qudsiyo Ke Hone Lagi Salami Parcham Jhooka Diye Hai. Aane Do Ya Doobo Do Abb TO Tumhari Jaanib Kasti Tumhi Pe Chhodi Lanagr Ootha Diye Hai. Dulha Se Itna Keh Do Pyare Sawari Roko Mushkil May Hai Baraati Purkhaar Wadiye Hai. Allah Kya Jahannam Abb Na Shard Hoga Ro Ro Ke Mustafa Ne Dariya Baha Diye Hai. Mere Karim Se Gar Khatra Kisi Ne Manga...

Chamak Tujh Se Paate

CHAMAK TUJH SE PAATE HE SUB PAANE WAALE MERA DIL BHI CHAMKA DE CHAMKAANE WAALE All those who attain brightness attain it from You Brighten my heart also, O? You who Brightens BARASTA NAHI? DEKH KAR ABRE REHMAT BADO PAR BHI BARSA DE BARSAA NE WAALE The rain of your Mercy descends, on all.? Allow it to descend upon the sinners as well, O You who Showers (his mercy upon us) TOO ZINDA HE WAL’LLAH TOO ZINDA HE WAL’LLAH MERE CHASME AALAM SE CHUP JAANE WAALE You are alive By Allah, By Allah You are Alive! O You who is hidden away from our physical sight RAHE GA YUNHI UNKA CHARCHA REAHEGA PAR?E KHAAK HO JAAYE JAL JAANE WAALE Forever shall His indestructible excellence be publicised whilst the jealous will burn in their jealousy to ashes RAZA NAFS DUSHMAN HE DUM ME NA AANA KAHAA TUM NE ...