Kamli wale a’amil mera tarpe hai dil gham bulana Yaa Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main tera dewana Tu ne arshe muala pei ja kar aur a’azaboun se ummat pacha kar Saans sukh ka liya saair-e-Jannat kiya – Jawaana Yaa Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main tera dewana Tere dar pei main aya sawali chomoun Sabz-Gumbad ki main jali Main darood paraan seine Jali laga Sakhi Sultana Yaa Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main tera dewana Tere dar pei main aya sawali dena khair na moor na khali Main houn mangta tera tu hai daata mera khair pana Yaa Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main tera dewana Tere Ka’abe dei gird chofere lagaye Hajiaan chakkar batehre Sab tovaaf karan nale nafal paraan bosa laana Yaa Muhammad (s...
Kaa’be pei pari jab pehli nazar kya cheez hai Duniya bhul gayi Youn hosh-o-khard maflooj hote Dil zook-e-tamasha bhul gayi Ahsaas ke parde lehraye imaan ki haraarat teezi hoyi Sajdoun ki tarap Allah Allah sar apna sooda bhul geya Poncha jo Haram ki Chookhat tak aik ibre karam ne gheer liya baqi na raha phir hosh mujhe kya mangha aur kya kya bhul geya Jis waqt dua’a ko haat uthe yaad na saka jo socha tha Izhaar-e-aaqeedat ki dahan mei izhaar-e-tamana bhul geya Har waqt barasti hai hai rehmat kaa’be mein Jameel Alllah Allah Khaki houn main kitna bhul geya aati houn main kitna bhul geya
Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekho Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho Gowr se su...
Dil ko unke se Khuda juda na kare Bay kisi loot le Khuda na kare Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf Hosh me jo na ho woh kya na kare Ye wahi hai ke bakhsh dete hain Kaun in jurmaun par saza na kare Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab Aah E’saa agar dawah na kare Dil kahaan le chala Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na kare A’zr ummed a’fwu gar na sune Roosiyah aur kya bahana kare Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kaash josh e hose hawa na kare Hashr me hum bhi sair dekhinge Munkar aaj Unse ilteja na kare Za’eef mana magar yeh zalim dil Unke raste me to thaka na kare Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna Wahi achcha jo dil bura na kare Lay Raza sab chale Madine ko Mai na jaoon aray Khuda na kare
Ka’abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A’la Sadaa Faqat Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein Dafn Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat Duniya Kee Saari Ne’ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na’lein-e-Mustafa Faqat Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat Naza’a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat Na’at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat
Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar Warna Wo Sayyide Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Muttalabi o ‘Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar Ishq ke rang me rang jao mere yaar Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar Ishq ke rang me rang jao mere yaar Soung loun khushbue gesue Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar...