Ham pay karam farmaatay rehna Apnay paas bulaatay rehna Bigrri ban ja-ay gi baatayn Mahfil e naat sajaatay rehna Gham kay baadil chhatt ja-ayn gay Geet nabi kay gaatay rehna Dil ki muradayn bhar a-ayn gi Mahfil e naat mayn aatay rehna Husn ki zulfon mayn dil waalo Ishq ki maang sajaatay rehna Tahir he tayra divaana Uss ka mission pehlaatay rehna
Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekho Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho Gowr se su...
Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain Sach bataana array duniya tera kya letay hain Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag Ham gham e Ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa meray Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain Gumbad-e-Khazra KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen) Dekh letay hain Tujhay pyaas bujh...
Faisla Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka hai Sunni bakhshe jaenge Garmee Qayamat se hum najaat Paenge Jitne hai a’ado Pyare Sarware do Alam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Atish e jahannam me woh jalae jaenge Noor se chamak uthee bil-yakheen lahad meri Qabr me mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)muskurate aaenge Roze hashr kauthar ka jaam apni ummat ko Apne Daste Aqdas se Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pilate jaenge Inka Dar pe janay ka gar sharf mila hum ko Naat e Mustafa nadim hum sunate jaenge.
Aey Mawla, ik baar dikhadey Jalwa Kamli waley (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Tan man wara jis ney deykha chehra Kamli waley ka Ghaus Qutb Abdaal Kalandar, sab Unkey gun gaathey hai Farshain zameen par arshay bareen par, charcha Kamli waley ka Qabr mey jab poonchein gey farishtey apna ta’ruf peysh karo Tho keh dun ga unsey, keh mey hun mangta pyaray Aqa ka Har neymat deyta hai Khuda, par waar keh Un par deta hai Khataa hai alam sara sadqah Kamli waley ka Ho gi talab meri yeh puri, duur woh karein gey wo duuri Insha’Allah ham deykhein gey Rowza Kamli waley ka
Dar peh bulaao, Makki Madni (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) BigRi Banaao, Makki Madni Deed Teri hai, eid meri Deed karaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mehshar may ho lab peh meray ‘Mujh ko Bachaao, Makki Madni’ Dar peh bulaao, Makki Madni Apnay nawasoon kay sadqay Dukhray mitaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Gumbad-e-Khazraa ke saae tallay Mujh ko sulaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mangta hoon mein sawaali hoon. Ishq-e-Nabi ka pujari hoon Thokarein khaata hoon dar dar ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Har saans mein Madina hai. Muskhkil ab mera jeena hay Dil mein tamanna hai Taiba ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Barsoon say akhiyaan tarsee Jalwaa dikhaao, Makki Madni Dar peh Bulaao, Ma...
Dil ko unke se Khuda juda na kare Bay kisi loot le Khuda na kare Iss me Raude ka sajdah ho ke Tawaaf Hosh me jo na ho woh kya na kare Ye wahi hai ke bakhsh dete hain Kaun in jurmaun par saza na kare Sab tabeebaun ne de diya hai jawaab Aah E’saa agar dawah na kare Dil kahaan le chala Haram se mujhe Aray tera bura Khuda na kare A’zr ummed a’fwu gar na sune Roosiyah aur kya bahana kare Dil me Raushan hai Sham’a Ishq e Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kaash josh e hose hawa na kare Hashr me hum bhi sair dekhinge Munkar aaj Unse ilteja na kare Za’eef mana magar yeh zalim dil Unke raste me to thaka na kare Jab Teri khoo hai sab ka jee rakhna Wahi achcha jo dil bura na kare Lay Raza sab chale Madine ko Mai na jaoon aray Khuda na kare
Rangiiniiay gulaab na gulzaar chaahiiay Taiba kay dasht ka mujhay ik haar chaahiiay Dunya na mujh ko maal ka anbaar chaahiiay Chashm e karam huzur ki ik baar chaahiiay Kaaba ki azmatein mujhay tasleem heyn magar Mayrii jabeen ko kucha e sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay Yay aarzu e dil he ada yuun namaaz ho Sajdon kay waastay tayra darbaar chaahiiay Yusuf sa maalka bhi kehta zuroor aaj Biknay kay waastay tayra bazaar chaahiiay He khuld ki talab na kisi huur say gharaz Mujh ko huzur (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aap ka deedaar chaahiiay Un kay gunahgaar ko to chaahiiay karam Un kay karam ko to bhi gunahgaar chaahiiay Daykhay to sirf aap ko daykhay na gheyr ko Mujh ko esi nazar shah e abraar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaahiiay
Bazm e tasawwuraat saji thi abhi abhi Nazron mayn Mustafa ki gali thi abhi abhi Seenay mayn ruk gya tha mayra dam iss liay Taibah say dil ddoar hili thi abhi abhi Itna karam huaa kay muqaddar badal ga-ay Un kay karam ki baat chali thi abhi abhi Maaloom kar rahay thay farishton say jibraiil Kiss ki zubaan pay naat e nabi thi abhi abhi Shabbir chashm e tar ki haqiiqat na poochhiay Maah e arab say aankh mili thi abhi abhi
Badi Ummid Hai Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jaaei(N) Ge Agar Jaana Madiney Mei(N) Hua, Gham Ke Maaro(N) Ka Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil Sunaaei(N) Ge Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil Qiyaamat Mei(N) Rasoolallah Jab Tashrif Laaei(N) Ge Gunahgaaro(N) Mei(N) Khud Aake Shaamil Paarsa Ho(N) Ge Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei(N) Chupaaei(N) Ge Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar Tere Jhurmat Qade May(N) Bhi Sitaarei(N) Jagmagaaei(N) Ge
Shah-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) suno ilteja Khuda ke liye Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye Bhar do jholi meri ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Lautkar main na jaaunga khaali Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi Bekason ke madadgaar ho ya nabi Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Hum hain ranj-o-museebat ke ...
Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho Uss sa-ay mayn Rabb kay aagay sajda karna kesa he Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he