Madinah

Aey Sabz Ghumbad Waale

Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna  

Ban Ker Faqeer Jao

Ban ker faqeer jao, Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galli may Dil ki muraad pao, Sarkaar ki galli may Aisa kareem  koi tujh ko na phir millay ga Baithay raho gadao, Sarkaar ki galli may Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh day Aik tum bhi ghar banao, Sarkaar  ki galli may Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhay Jannat ka der khulla hay, Sarkaar ki galli may  

Taibah Ki Hai Yaad Aai

Taybah ki hai yaad aayee ab ashk bahaanay do Mahboob nay aanaa hai rahoon ko sajaanay do Mushkil ho agar meyra Taybah main abhii jaanaa Aey baad – e – sabaa merii aa – hoon ko to jaanay do Mey teri ziyaarat kay qaabil to naheen maanaa Yaadoon ko shahaa apnii khaabon main to aanay do Ashkoon kii larhii ko ab tutaney mat deynaa Aaqa kay liye muj koh kuch haar bananay do Jo chaaho sazaa deynaa mehbuub kay darbaano Ik baar to jaalii ko siinaay say lagaanay do Mahboob kay qaabil yeh alfaaz kahaan saaim Ashkoon kii zubaan say ab ik naat sunaanay do Lagta nahin dil mayra ab in weeraanon mayn Chota sa ghar mujh ko teba mayn bananay do Roko na mujhay ab to dar e yaar kay darbaano! Mahboob ki jaali ko seenay say laganay do

Ham Faqeeroon Ko Madine Ki Gali Achi Lagi

Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar Mujh ko ku’ey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chakari achi lagii Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi  

Madine Ke Waali Do Alam ke data

Madine Ke Waali Do Alam Ke Daata Meri Bhi Soue Taibah Lagai Hai May Mohtaj Hoo Ek Nigahe Karam Ka Tumhare Karam Se Meri Zindagi Hai Hai Wadi e Aiwan Pe Khalique Ki Rehmat Musallam Hai Baitul Muqaddas Ki Azmat Magar Qalb e Muztar Ko Hai Jiski Haajat Woh Sultan e Taibah Tumhari Gali Hai Tumhare Hi tukro Pe Mera Guzara Tumhare Darbar Ka Hoo May Mangta Jo Tumse Na Mangoo To Fir Kis Se Mangoo Tumhara To Saara Gharana Saqi Hai Yahan Reh Ke Jina Hai Marne Se Badtar Wahan Jaake Marne Jine Se Behtar Mayassar Jo Ho Unke Qadmo May Rehkar Wohi Zindagi Asla May Zindagi Hai Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai Teri Rah May Akhiya Bichate Bichate Badi Hasrato Se Badi Chahato Se Bahut Deein Huey Ghar Sajate Sajate Mera Hai Ye Iman Ye Mera Yaqin Hai Mere Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sa Na Koi H...

Habibe Khuda Ka Nazara Karoon Mein

Habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka nazara karoon mein Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke Tere sar se Sadqe utaara karoon mein Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein Khudara ab aawo ke dam he labo par Dame wapasi to nazaara karoon mein Khudaa kher se laye woh din bhi Noori Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein Mujhe apni rehmat se to apna karle Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon Tere Dar se apna guzaaraa karon mein Tera Zikr lab par khuda dil ke andar Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein Dame wapasi tak tere geet gaoon Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) phu...

Teray rowzay they aawan mey, Madinay wich rehn waleya

Teray  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) rowzay they aawan mey, Madinay wich rehn waleya jali aakhiyan naal lawan mey, Madinay wich rehn waleya wich qabr dey aaja lagiyan towd nibhaa jana tera ummati sada waan mey, Madinay wich rehn waleya jad waqt naza howey, bas Teri nigha howey tera ummati sada waan mey, Madinay wich rehn waleya Sadqah Shaane kareemi da bharam rakhna Naeemi da Teriyan ne’matan sanawaan mey, Madinay wich rehn waleya Sadqah Shaane kareemi da bharam rakhna ham sab ka Teriyan ne’matan sunandey rawa, Madinay wich rehn waleya  

Teri jaaliyoun ke niche

Teri jaaliyoun ke niche teri rehmatoun ke saaye Jise dekhne ho Jannat, wo Madina dekh aye Lo chala houn main lahad mein mere Mustafa se keh do Ke hawa teri gali ki mujhe chorne to aye Roze ke samne mein ye dua’aen mangtha tha Meri jaan nikal to jaye ye samaan badal na jaye Taiba ko jaane wale tujhe deti houn dua’aen Dar-e-Mustafa pei ja kar to jahan ko bhul jaye Kaisi wahan ki raatein kaisi wahan ki baatein Unnhe poch’ Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka jo Madina dekh aye Na ye baat shaan se hai naa yee baat maal-o-zar ki Wohi jata hai Madine Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jisse bulaye Aur wahi ghaam ghusaar mera wo Zahoori yaar mera Meri qabar par jo aa ke Naat Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sunaye  

Salli ‘ala Nabiyyina salla ‘ala Muhammadin

Salli ‘ala Nabiyyina, salli ‘ala Muhammadin Salli ‘ala Shafiyinna, salli ‘ala Muhammadin Ham bhi Madine jaye gei ajj nahi to kal sahi Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamme bulaye gei ajj nahi to kal sahi Galiyoun mein ghum ghum kar Khakhe Madina chum kar Nazroun se ham lagaye gei ajj nahi to kal sahi Galiyoun mein jhum jhum kar khakhe Madina chum kar Naatein Nabi suanein gei ajj nahi to kal sahi Dekha jo Un ko baanethe main ne bhi bar ke shouk se Daste ata ke samne daste talab barha diya Aamade Mustafa hoyi roshan zamana ho geya Jin ke Huzoor ho geye un ka zamana ho geya Haal dil sunayein gei ajj nahi to kal sahi Bighri apni banaye gei ajj nahi to kal sahi Salli ‘ala Nabiyyina, salli ‘ala Muhammadin Salli ‘ala Shafiyinna, salli ‘ala...

Bulalo Phir Mujhay

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main Main phir rota huwa aoo, teray dar par Madinay main Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah Kadi toh apna bhi lag jaey ja bistar Madinay main Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main

Mangton Ko Sultan Banaya

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se Aminah (radi Allahu ‘anha) tera gher chamkaya mere kamli walay ne Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne  

Mayri baat ban gaii he

Mayri baat ban gaii he tayri baat kartay kartay Tayray shehr mayn meyn aa-oon tayri naat parrtay parrtay Tayray ishq ki badolat mujhay zindagi mili he Mayray paas bhi he aaii mayri moat dartay dartay Kiss cheez ki talab he na he aarzoo hi koii Toon nay itna bhar diya he kashkol bhartay bhartay Mayray soonay soanay ghar ko kabhi naymatayn ataa kar Meyn divana ho gaya hoon tayri raah taktay taktay Meyn na ja-oon ga o darbaar kabhi chhoarr kar yay galiyaan Kay, meyn poancha hoon yahaan tak mayray yaar martay martay He jo zindgaani baaqi yay irada kar liya he Tayray mukiron say aaqa meyn maroon ga larrtay larrtay