Milad

Hai Yehi Qahesh Ke Raat Din Likhta Rahu Naat-E-Mustafa

hai yehi qahesh ke raat din likhta rahu naat-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) isse badkar aur kiya hogi aata-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sajate raho mahafil aqidat se aur mohabbat se phir jald hogi mahafil me amad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) wala soufa yuu tika rabbuka fatarza kaha hai qur aan me rab ne dekho khuda bhi chahta hai raza-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chale the farooq (radi Allahu ‘anhu) khatl-e-Huzoor ke liye badal diye irada jab dekha chehra-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) padte raho durood-o-salam Aqa-e-do jahan par yaqinan hogi wajib shafaat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karde Mawla ab fazlo karam JABER pe take ye bhi ban jaye aashiq-e-Mustafa (salla Llahu ‘...

Hai Kalaam-E-Ilahi Me Shams-O-Duha

Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Ja...

Eid-e-Nabawi Ka Zamanah

Eid-e-Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka zamanah aa gaya lab peh khushiyon ka tharana aa gaya har sitarey ko mili hai roshani har kali ko muskurana aa gaya har tharaf Salli ‘ala ki dhoom hai wajd mein sara zamana aa gaya parcham deen Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ho buland kafir ko gardan jukana aa gaya kyun na ho qismat key maron paas rehmat ka khazana aa gaya Aaj chamkado dar-o-deewar ko aashiqon ka din suhana aa gaya Shaad hunton peh hai naat Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) haath bakhshish ka bahanah aa gaya  

Dilon Kay Gulshan Mehek Rahay Heyn

Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn Nawazishon par nawazishayn heyn inaayaton par inayatayn heyn Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn Kahiin pay ronaq he mekashon ki kahiin pay mehfil he dil jalon ki Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki mehfil saja rahay heyn Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn Khaan ka mansab kahaan ki dolat qasam khuda ki yay he haqiqat Jinhayn bulaya he mustafa nay wohi madinay ko ja rahay heyn Habeeb e daawar ghareeb parwar Rasool e akram karam kay pekar Kisi ko dar pay bula rahay heyn ...

Dildaar Barhe Aa’ey

Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey Jo dekhey sabhii un keh qadmon main parhe dekhey Sardaare do ‘aalam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ta’ziim keh kiyaa kehne Mursal bhii sabhii jin ki raahon main karhe dekhey Yaad un keh Madiinah ki jab dil main utar aai Palkon keh kinaaron pih moti seh jurhe dekhey Mahboob ki midhat main hai taab sukhan kis ko Sab ahle sukhan main ne hairat main garhe dekhey Un jaisaa Zuhurii ab aaey gaa nah duniya main Dildaar barhe aa’ey mahboob barhe dekhey  

Chand Ki Qindeel Sooraj Ka Diya Tere Liye

sab ke sab loh-o-qalam hain lab kusha tere liye chand ki qindeel sooraj ka diya tere liye kiya shab-e-meraj istiqbal khaliq ne kiya kona kona aasmanon ka saja tere liye chand do tukre kiya baik janbish angush se chand sheeshe se ziada kuch na tha tere liye hum to ajiz hain teri midhat se aae mamhoh-e-rab khud sarapa naat hia tera khuda tere liye rang,khushboo,chandni,barsaat badal sab tere khak per yeh farsh sabze ka bicha tere liye hamid-o-mahmood-o-ahmad majid-o-amjad hai tu ha karan taaba karan yeh silsila tere liye un ki had hai tur-e-sina tu hadoon se mawara manzil kosin tu hai ibtida tere liye  

Akss-E-Rab-E-Zul Jalaal Allah Hi Allah

Akss e rab e zul jalaal allah hi allah Amma amina day laal allah hi allah Ummati nuun jaduun koii gham oanday nay Mayray aqa madinay tarrap jaanday nay Sun-day sab di kissay da ni dil ttaawan-day Mayri sarkar sab da pala chaawan-day Kinnay aqa lajpaal allah hi allah Jag tuun wakhhraa maza aqa day pyaar da Lamha lamha karam wajaan he maar da Khhulla rehnda sada booha sarkar da Oas darbar tay har gunahgar da Poora hunda ay sawaal allah hi allah Jayrra mahboob koii iradah karay Oas waylay khuda oa nuun poora karay Jiss tuun khaliq kadi wi na parda karay Jiss nuun kaba e alam wi sajda karay Shaan sohnay da kamaal allah hi allah Ghar sajaanday nay aqa diyaan mehfilaan Ddayray laandiyaan nay rab diyaan rahmataan Oaday ghar wich sada rehndiyaan barkataan Duur ho jaandiyaan sariyaan ghurbataan Ban...

Tu Kuja Man Kuja

Tu (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ameer-E-Haram Main Fakir-E-Ajam Tere Gun Aur Ye Lab Mein Talab Hi Talab Tu Ata Hi Ata Main Khata Hi Khata Tu Kuja Man Kuja Tu Kuja Man Kuja Tu Hai Ahram-E-Anwar Bandhay Huay Main Duroodon Ki Dastar Bandhay Huay Kaba-E-Ishq Tu Main Tere Charsu Tu Asr Main Dua Tu Kuja Man Kuja Maira Har Saans To Khoon Nichorhay Maira Tairee Rehmat Magar Dil Na Toorhay Maira Kasa-E-Zaat Hoon Tere Khairaat Hoon Tu Sakhi Main Gada Tu Kuja Man Kuja Tu Haqeequat Hai Main Sirf Ihsaas Hoon Tu Samandar Main Bhatki Hui Pyas Hoon Maira Ghar Khaak Par Aur Teri Reh Guzar Sidratul Muntaha Tu Kuja Man Kuja Dagmaga Hoon Jo Halaat Kay Samnay Aayay Tera Tasawr Mujhay Thamnay Mairee Khush Kismati Main Tera Umati Tu Jaza Main Raza Tu Kuja Man Kuja Duriaan Saamnay Say Jo Hathnay Lageen J...

Azal Ki Khushboo Ho

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n koi batae tu naam aisa wo naam-e-Ahmed (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke phool barsein Bayan Aisa Kalam Aisa Azal Ki Khushboo Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n wohi hai rab jiska hai sama khaa’n Farishte pardh pardh ke jhoomte hain Durood aisa Salam aisa Azal ki khushboo Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan hai arsh bhi jispe naaza’n wohi tu laya hai deen aisa wohi tu laya nizaam aisa Azal ki khushboo wo jis ka saya tu arsh par hai wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai wohi jo chamka tu phir na dooba wohi hai mahe tamam aisa Azal ki khushboo nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa buzurgon par tar hai sirf taqwa koi jahan mein hai deen aisa kahin hai koi nizaam aisa Azal ki khushboo Woh jis andheri gali se guzra badal diy...

Zindagi Da Koi Tay Maeyaar Hona Chahida

Zindagi da koi tay maeyaar hona chahida ALLAH (subhanahu wa ta’ala) de HABEEB (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) naal piyaar hona chahida Saanu ay ho dassayya Siddique (radi Allahu ‘anhu) Yaar-e-Ghaar nay Kay sab kujh Sohnay tou nisaar hona chahida ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Aur houn jaan saaday tay, ALLAH ay enayataa kay juunday juunday Sohnay da dedaar ho chahida ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Aur koi tamanna see, Siddique Yaar-e-Ghaar de Kay Yaar naalay Yaar da Mazaar hona chahida ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Hasan (radi Allahu ‘anhu) tay Hussain (radi Allahu ‘anhu) tou, jind jaan waar kay Ali (R.A) day gulama cho shumaar hona chahi da ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Ay labba tay Niyaazi ho, saa jaddo aakhri Uss wai...

Zarey Zarey Pey Chaya Huwa Noor Hai

Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Noor sey sab fiza iss ki ma’amoor hai Merey meetey Madineh ki kya baat hai Noor phoolo mai hai Noor galiyo mai hai Noor bazaar mai Noor Galiyon mai hai Dast o kausaar par Noor hi Noor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Har taraf rehmato ki hai cha’i gatah Mehki mehki hai kya hoob madni fiza Zarey zarey pey qurbaan yaha tor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Kya byaa dashtey tayba ki ho hoobiya phool to phool, kaantey bi dilkash yaha pathey pathey pey chaya huwa Noor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Kaif o masti mai doobey huwey raat o din bheeni husboo say mehkey huwey raat din jis ko dekho yaha aa kai masroor hai Merey meethey Madineh ki kya baat hai Baagey ...

Mainu Sohne Ne Bulaya

Allah hu Allah hu Dil pawe chaliyaan Mainu Sohne ne bulaya main Madine chaliyaan Mainu karo ni teyaar, Gal pao pholaan dei haar Mainu millo waar-o-waar main Madine chaliyaan Haji chale nei Madine, agg parke mere seene Ais lagi hoyi agg noun bujaan chaliyaan Haji kar dei tawaaf nale chumde nei ghulaaf Main whi Ka’abe da ghulaaf houn chumman chaliyaan Khane Ka’abe dei minaar jithe lagi ae bahaar Ais lagi hoyi bahaar noun main wekhan chaliyaan Khane Ka’abe diyaan galiyaan jithe laya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ji ne taliyaan Ahnaan galiyaan da main bosaa lain chaliyaan Allah Hu Allah hu Dil pawe chaliyaan Mainu Sohne ne bulaya main Madine chaliyaan