Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham Ham buray hai ya balay jeysay bhi hai, aap key hai aey Shahe Abrar ham kasthi milath bhanwar main phans gaee, Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) uthray paar ham Ab tho qismath mey andheyrey reh gaey, roshni key thay kabhi minaar ham ley gaey kirdar ki dolath aduw, ab hai khaali saahibe gafthaar ham aasi-wo-khaathi sahi leykin Hazoor, Aap ki ulfath say hai sarshaar ham ab na khali haath lowtein Ya Nabi, ho gaey hain haazre darbaar ham Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham
Hasbi Rabbi jalla Llah Ma fi Qalbi Ghair Allah Awwal -o- Aakhir, hai Allah Zahir -o- Batin, hai Allah Noor e Muhammad, salla Llahu La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu Kisi Nay poochha keh jannat kee koi qeemat hay kia To Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay kaha keh La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu illallahu, illallah, illallahu illallah La ilaha illa Llahu Muhammad ur-Rasula Llah salla Llahu ‘alayhi wa sallam
har dum ho mera vird Madina hi Madina bas yaad teri dil me rahe roz-o-shabina wo lamha wo din aur wo aajaye mahina phir kash tadapta huva pahunchu mai madina sina ho Madina mera sina so Madina ban jaye mera dil teri ulfat ka khazina aaye noo-e-khuda noor bhari dil pe nazar ho ho noor se pur noor ye be noor nagina Sarkar tamanna hai yuhi umr basar ho bas teri mohabbat me ho marna jina saqi muhje jaam aaisa mohabbat ka pilade utre na kabhi iska nasha aai sha-e-madina tum khak-e-madina mere lashe pe chidakna phir malna kafan par jo mile un ka pasina ATTAR talab gaar hai bas unke karam ka lillah karam jane karam bahre madina
hai yehi qahesh ke raat din likhta rahu naat-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) isse badkar aur kiya hogi aata-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sajate raho mahafil aqidat se aur mohabbat se phir jald hogi mahafil me amad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) wala soufa yuu tika rabbuka fatarza kaha hai qur aan me rab ne dekho khuda bhi chahta hai raza-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chale the farooq (radi Allahu ‘anhu) khatl-e-Huzoor ke liye badal diye irada jab dekha chehra-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) padte raho durood-o-salam Aqa-e-do jahan par yaqinan hogi wajib shafaat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karde Mawla ab fazlo karam JABER pe take ye bhi ban jaye aashiq-e-Mustafa (salla Llahu ‘...
Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte, jo yaad e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se dil ko garmaya nehi karte ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte, Nabi ke naam lewa gham se gabraya nehi karte yeh he darbaar Aqa ka yahaaN milta he bemange, are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte Yeh darbaar e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hi Yahaan apno ka kya kehna, Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr, yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki shaan e rehmet to zarah dekho, sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke baagh keh sabh phool aise hain, Yeh bepaani ke tarr rehte ha...
Ham pay karam farmaatay rehna Apnay paas bulaatay rehna Bigrri ban ja-ay gi baatayn Mahfil e naat sajaatay rehna Gham kay baadil chhatt ja-ayn gay Geet nabi kay gaatay rehna Dil ki muradayn bhar a-ayn gi Mahfil e naat mayn aatay rehna Husn ki zulfon mayn dil waalo Ishq ki maang sajaatay rehna Tahir he tayra divaana Uss ka mission pehlaatay rehna
Sallallah ’ala Muhammad Hum tere se aisa pyar karte hain Hum sab jaante hain, Insaano mein tere jaisa koi nahin hain, Hum Sab Maante hain, Teri azmat ka hum ko aur Allah ko aisa yaqeen hai Tu hi Sadiq hai tu hi Amin hai Jaanta asmaan aur zameen hai Aey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tujhey salaam (4) Hum tere se aisa pyar karte hai Sallallah ’ala Muhammad (4) Ghaare Hira se jo nikli awaaz, Phaili jahan mein phir sach ki pukaar Zulmat ke but ko kiya pash pash, Insaan ka sab se bada rahnuma tu, Jahaan pe hai tere karam beshumaar Ghareebo ka saathi, yateemon ka baap, Be-qasson ka Sahara, sakhi be hisaab Khuda ki khudai ko samjhane wala Zalim ke seene pe hai-badd ka saaya Baaqi jahan ke liye sirf pyar Ham sab jaante hai, insaano mein tere jaisa koi nahin hai, Hum sab maante hai...
Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekho Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho Gowr se su...
Hai kalaam e Ilahi me Shamsuz’zuha, Tere chehre Noore Faza ki qasam Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua Mujhe Ja...
Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain Sach bataana array duniya tera kya letay hain Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag Ham gham e Ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa meray Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain Gumbad-e-Khazra KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen) Dekh letay hain Tujhay pyaas bujh...
Aey ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meray dil mein bhi sama jaana Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana Mujh ko bhi Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka deewanah bana jaana Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki hasrat to rahe baaqi Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana Daagh-e-gham-e-Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sey seeneh ko sajaa jaana
gham hogaye be shumar Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) banda tere nisar aqa bigra jata hai khel mera aqa aqa sanwar aqa majboor hai ham to fikr kia hai tum ko to hai iqtiyaar aaqa mai dur hoo tum to ho mere paas Sun lo meri pukaar aqa mujh sa koi gham zada na hoga tum sa koi gham gusar aqa manjhdaar pe aake naw tuti de haat ke hoo mai paar aqa halka hai agar hamara palla bhari hai tera viquar aqa tuthi jaati hai pith meri lillah ye boj utar aqa jis ki marzi khuda na taali mera hai wo namodar aqa kiya bhul hai inke hote kaha laiq duniya ke ye tajidaar aqa un ke adni gadha pe mit jaye aise aise haazar aqa itni rahmat RAZA pe karlo la yaqrubu hul bawar aqa