Taj walon ke saron par paye aqdas aap ke main bhi choomon ga payambar paye aqdas aap ke aap ke qadmon ke neeche narm pathar ho gaye kya kahoon Allahu akbar paye aqdas aap ke sust aur kamro sawari tez ho jati wahin jab lagate eik thokar paye aqdas aap ke meri qismat bhi khule gi mere ghar bhi ayein ge dekhoon ga mein zindagi bhar paye aqdas aap ke is liye Makkah madina ban gaye dono haram aa gaye jab banda parwar paye aqdas aap ke khak pay-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki khai Quran ne qasm tayyib-o-tahir munawwar paye aqdas aap ke kya makan ho la makan tak chap hai qadmain ki sidra-o-raf raf se uppar paye aqdas aap ke hashr tak mit ta nahi hai mit gaya jo aap par aye ujagar thaam mit kar paye aqdas aap ke
Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang Deta hei karam un ka sada maang aray maang Aa ja-ai ga ik roz bhi teba se bulawaa Har waqt madine ki dua maang aray maang Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei Hei kiss liye khamosh khharra maang aray maang Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang
Baithe baithe kaam saara ho gaya Sabz gumbad ka nazara ho gaya kar liya Allah ne usko pasand, jo mere Aaqa ka pyaara ho gaya Mil gaya sadqa mujhe Aaqa ka, zindagi bhar ka guzara ho gaya Naam naam-e-Mustafa salli ‘ala, besaharon ka sahara ho gaya Aap ke darbaar gohar baar se, Saare mangton ka guzara ho gaya Mohsin aasi hai yakeen yeh hashr mein woh kahenge, tu hamara ho gaya Zindagi bhar naat main parhta raha Meri bakshish ka sahaara ho gaya
Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh Naam Tumhara Sab Namoon Say Hai Piyara Iss Naam Say Chamka Sooraj Aur Chamka Chaand Sitara Hua Her Suu Khoob Ujala Hua Roshan Alam Sara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara Jab RAB-e-Qadeer Tumhari Keray Khud hi Midha saraye Her Ek Kay Laboon Pay Phir To Tareef Tumhari Aye Sadd Shuker Kay Zikr Tumhara Rahay Her Dam Wird Hamara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara Her Waqt Per Hum Nay Dekha Hay Tumhain To Ma’el Dar-e-Pak Pay Aya Jab Bhi Kesa Hi Koi Sa’el Ay Rehmat-e-Alam Tum Nay Usay Ker Hi Leya Hay Gawara Mera Naam Keray Ga Roshan Do Jagg Main Naam Tumhara Sa’el Hoon Teray Dar Ka Milay Mujh KO Bheek Karam Ki Rekh Laaj Ay Mere Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Iss Mere Chashm-e-Naam Ki ...
Thandi thandi hawa rehmatoon ki chali Ban ke mouj e karam, Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaye. Hal meri ho gayein khud ba khud mushkalein Saray aalam kay mushkil kusha aa gaye Aagaye aagaye Mustafa aagaye… Amina ka muqadar sanwara gaya Goud main chand jiski utara gaya Hoor o ghulman salami ko jhuknay lage Partay rizwan salle ala aagaye. Aagaye aagaye Mustafa aagaye… Dono aalam ki kismat badalne lagi Noor main sari konain dhalne lagi Khush muqadar Halima mubarak tujhe Goud mein teri Khirul Wara aagaye. Aagaye aagaye Mustafa aagaye… Ban gayi hai zameen rashk e bagh e jinnah Sajh gaye asman khil utha gul sitan Mang lo rehmatein khol lo jholiyan Denay khairat hajat rawan aagaye. Aagaye aagaye Mustafa aagaye… Aaj koi bhi sa’im na khali rahe Sab muradein milein har musibat tal...
‘ya shafi e umam liLlah kar do karam (2) shala wasda rawe taira sona haram….. taira sohna haram…. Ham ghulamo ka rakhna khuda ra bharam… Shala wasda rawe taira sona haram taira sohna haram……(2) Muntashar hain khayalat ki waadyan’…. lut gaya hai sukoon wali-e do jahan …(2) Rehm farma day ab tairi ummat hain ham… Shalla wasda rawe taira sohna haram. Shalla wasda rawe taira …(2) Mairay haathon’ main kaasa hai umeed ka…… Hoon bhikaari shaha tairi deed ka… Hoon bhikaari main shaha tiari deed ka Main gadaa-e haram too nabi mohtaram Shala wasda rawe taira sohna haram ….taira sohna haram… Shala wasda rawe taira sohna haram …..taira sohna haram… Kis ko jaa kar kahain taajdaar-e haram Ghaaira daalay hoey hain zamanay k gham… Door ho jaeyn gham yaa nabi mohtsham …..2 Shala wasda rawain taira sohna ha...
Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam Mori Laaj Tumhare Haath, Sarkaar Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar Sallal La Syed ul Mursaleen, Sallal La Syed ul Mursaleen Tooti Howi Aas Hun Main, Dukh se Bhara Dil Hai Mera Tooti Howi Aas Hun Main, Dukh se Bhara Dil Hai Mera Nazr-e-Karam Behr-e-Khuda, Koi Nahi Hai Tere Siwa Sallal La Syed ul Mursaleen, Sallal La Syed ul Mursaleen Ghamkhar-e-Jahan, Taskeen-e-Jaan, Ek Shab Tu Mujhe Bhi Ho Deedar Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam Ya Shah-e-Umam Ek Nazar-e-Karam Mori Laaj Tumhare Haath, Sarkaar Mori Nayya Laga Do Apne Karam Se Paar Baag-e-Iram Shehar Tera, Jiss Ki Hawa Mushk-e-Khutan Naam Tera Salle Alaa, Rooh-e-B...
jo samne hai Madina to dekhta kya hai yehi to kaabe ka kaaba hai, sochta kya hai mere huzoor ko ae khud sa bolne wale x 3 tum unki zaat ke baare mein jaanta kya hai x 2 yehi to kaabe ka kaaba hain sochta kya hai baroze hashr khuda khud kahe ga bandon se x 3 jo Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko na maane x2 woh maanta kya hai x2 yehi to kaabe ka kaaba hai sochta kya hai teri gali ko hi maanga hai ja ke jannat mein x 4 to is pe bole farishte yeh mangta kya hai yehi to kaabe ka kaaba hain sochta kya hai lage na jis pe qadam Mustafa ke ae hakim x 3 woh jaye su-e-haram bhi to raasta kya hai yehi to kaabe ka kaaba hain sochta kya hai agar nahin hai paseena gulon mein Aqa ka to phir batao ke gulshan ka mehakna kya hai yehi to kaabe ka kaaba hain sochta kya hai jo samne hai madina to...
Allah ne ye shaan barhaee Tere (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dar ki Bakhshi hain Malaik ko gadaee Tere dar ki Hooro ne Malaik ne ajinna ne bashar ne Kis kis ne yahan na beek paee Tere dar ki Paane ko to khursheed o qamar charkh ne paaye To kya paaya agar khaak na paee Tere dar ki Jannat ne utaare to bohat noor ke naqshe Tasveer maghar haat na aayi Tere dar ki Jab zulm karo jaan pe pohonch jao Madina Quraan bhi karta hain baraee Tere dar ki Sarkaar karam nazar e karam jae kidhar hum Jaooka ne to rah dikhaee Tere dar ki Mehshar me bhi is shaan se jae ga Munawaar Rakhe hue kaande pe chataai Tere dar ki Hain naaz muqaddar pe Ubaid e Razwi ko Sarkaar mili is ko gadaee Tere dar ki
Jis pe qurban hue shams o qamar ke jalwe wohi jalwe mere Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke dar ke jalwe jis ne damaan mein bhare unke karam ke moti uss se poche to koi unki nazar ke jalwe unke gesu ne hi rehmat ki ghatta chaayi hai unke abru mein hi do qiblon ki yakjaayi hai bhar de bhar de, mere Aaqa, meri jholi bhar de Allah ne aap ko mukhtaar bana rakha hai ik jhalak dekhne ki taab nahi alaam ko, woh aggar jalwa karein kon tamashayi ho Kahin behosh na ho jaaye zamaana sara, iss liye husn ko pardon mein chupa rakha hai yehi manzoor tha kismat ko, ke saya na bane aise yakta ke liye aisi hi yaktai ho mere ghar aayein aggar tere qadam aye jaan-e-jahaan tujhpe qurbaan mera saara gharaana hota gumbad-e-khazra khuda tujhko salaamat rakhe, dekh lete hain tujhe pyaas bhuja lete hai...
Hamare Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam woh sab se pyare hamare dil mein basse hue hain Khuda bhi jin se hai pyar karta hai, hamare dil mein basse hue hain Hamare Aqa… Utha do parda dikha do chehra ke noori bari hijab mein hai Zamana tari ke ho raha hai ke mehr kab se niqab mein hai Hamare Aqa… Koi saliqa hai arzu ka na bandagi mein bandagi hai Yeh sab tumhara karam hai Aqa ke baat ab tak bani hui hai Hamare Aqa… Hamare daman mein kuch nahi hai Jo hai to Aqa hai ishq tera Issi liye to faqir tere, teri galli mein khare hue hain Amal ke meri ihsas kya hai wajuz nadam ke paas kya hai Rahe salamat bas unki nisbat Mera to bas aasraa yehi hai Hamare Aqa… Kahin na dekha zamane bhar mein jo Madine mein aake dekha Tajalliyon ka laga hai mela jahan bhi nigahein utha k...
Dunya Ke Ae Musafir Manzil Teri Qabar Hai Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai Tai Kar Raha Hai Jo Tu, Do Din Ka Yeh Safar Hai Manzil Teri Qabar Hai, Manzil Teri Qabar Hai Dunya Ke Ae Musafir……… Jab Se Bani Hai Dunya, Lakhon Karoron Aaaye Lakhon Karoron Aaaye Baki Raha Na Koi, Mitti Main Sab Samaye Mitti Main Sab Samaye Iss Baat Ko Na Bhoolo, Sab Ka Yahi Hashar Hai Manzil Teri Qabar Hai Dunya Ke Ae Musafir……… Yeh Aali Shaan Bangle Kissi Kaam Ke Nahi Hain Mehloon Main Sonay Wale, Mitti Main So Rahe Hain Mitti Main So Rahe Hain Do Gaz Zameen Ka Tukra Chota Sa Tera Ghar Hai Manzil Teri Qabar Hai Dunya Ke Ae Musafir……… Ankhon Se Tun Ne Apni Dekhe Kayi Janaze Dekhe Kayi Janaze Hathon Se Tu Ne Dafnaaye Kitne Murde Dafnaaye Kitne Murde Anjaam Se Tu Apne, Kiun Itna Tu Bekhabar Hai Manzil T...