Bayan ho kis zaban se Martaba Salar E Azam ka
Koi saani nahi hai BaKhuda Salar E Azam ka
Numaya aapki har ek Ada se Shan E Jaanbazi
Laqab Kiska hai Shamsheer E Khuda Salar E Azam ka
Woh Jangi Hiqmat E Amli Me Ektaye zamana the
Zamana janta hai dabdaba Salar E Azam ka
Yahi to aaj bhi Tarikh k awraak kehte hai
Tha bhari sekron pe soorma Salar E Azam ka
Woh alam dabdabe ka kanpte hai Kaisaro Kisra
Jo Naam E Pak Kano me padha Salar E Azam ka
Umar Farooq or Siddiq E Akbar ne yeh farmaya
Furehra har taraf uncha raha Salar E Azam ka
Gada Sarkar E Khalid ka Khuda se Fazl paata hai
Khuda k fazl se main Hu Gada Salar E Azam ka
Jameel ab dabdaba unka bhi shahon Ki tarha hoga
K hai Jo bhi zamane me gada Salar E Azam ka
Jameel unki mohabbat mere dil me karfarma hai
Mera dil hai charag e purziya Salar E Azam ka