Share This Post

Urdu Lyric

Zarey Zarey Pey Chaya Huwa Noor Hai

Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai
Zarey zarey pey chaya huwa Noor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Noor sey sab fiza iss ki ma’amoor hai
Merey meetey Madineh ki kya baat hai

Noor phoolo mai hai Noor galiyo mai hai
Noor bazaar mai Noor Galiyon mai hai
Dast o kausaar par Noor hi Noor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Har taraf rehmato ki hai cha’i gatah
Mehki mehki hai kya hoob madni fiza
Zarey zarey pey qurbaan yaha tor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Kya byaa dashtey tayba ki ho hoobiya
phool to phool, kaantey bi dilkash yaha
pathey pathey pey chaya huwa Noor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Kaif o masti mai doobey huwey raat o din
bheeni husboo say mehkey huwey raat din
jis ko dekho yaha aa kai masroor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Baagey thayba mai rehti hai har dam bahaar
aa kai dekho yaha ka samaa hush’guaar
sab fiza is ki hushboo sai bar’poor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Gam’zado jo bi darbaar may aa gya
Shah ki who nigaa’e karam paa gya
Saarah ranj o a’lim is ka kafoor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Yai Madineh hi ko to fazeelat mili
Kai issi mai bana hai mizzar e Nabi
Gunbade sabz har aankh ka Noor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Sabz gumbad kai jalwoh pey qurbaan jaa
balkey qurbaan hai husn e kon o makaa
har minaar e pey chaya huwa Noor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Haak e thayba mai rakhi hai Rab nai shifa
Saari bimaariyo ki hai is mai shifa
Is ki barkat sai har ik marz door hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Aas nujh ko tumhaarai karm ki Shah
Beek day doh mujhe apne gham ki Shah
Keh do Aqa teri arz mazoor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

Phir Madineh ka rangeen gulzaar hai
Aur muqadar sai Attar e bar kaar hai
Is ka naama gunaaho sai bar’poor hai
Merey meethey Madineh ki kya baat hai

 

Share This Post

Leave a Reply