Share This Post

Urdu Lyric

Firaaq-e-Madinah Mein Dil Ghamzada Hai

Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai,
Jigar tukray tukray hua ja raha hai.

Chura kar Madinah mera chain cheena,
Bata nafs-e-zalim tujhe kia mila hai.

Meri aankh se cheena taiba ka manzar,
Yeh kis baat ka tu ne badla lia hai.

Sikhaya hai phir yeh muqaddar ne mujh ko,
Na shikwa kisi se na koi gila hai.

Rahoon bus isi ghum mein bay chain sarwar,
Muqaddar ne jo daagh-e-furqat dia hai.

Muqaddar se jis ja rahoon per shaha ho,
Nazar mein Madinah meri iltija hai.

Mere dil kay armaan rahe dil hi dil mein,
Yehi ghum mere dil ko tarpa raha hai.

Sukoon tha mujhe Koocha-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mein,
Watan mein mera sub sukoon lut gaya hai.

Na dunya ki fikrain na ghum tha wahan per,
Yahan aa kar dil aafaton mein phansa hai.

Na chootay mere haath se un ka daaman,
Jiyun jab talak ya khuda yeh dua hai.

Mein lafzon mein kaise bata doon kisi ko,
Kay kia kia mujhe aaj yaad aa raha hai.

Paharon ki dilkash sitaron kay jalway,
Woh manzar mujhe aaj yaad aa raha hai.

Unhe choomna haath lehra kay paiham,
Woh lamha mujhe aaj yaad aa raha hai.

Aqeedat se khaak-e-Madinah utha kar,
Use choomna aaj yaad aa raha hai.

Kabhi deed-e-sarwar ki hasrat mein minbar,
Ko takna woh chup chup kay yaad aa raha hai.

Haseeno jamil piyaari woh jannat ki kiyari,
Wahan baithna aaj yaad aa raha hai.

Kabhi dekh kar subz gumbad ka manzar,
Jhukana nazar aaj yaad aa raha hai.

Firaaq-e-Madinah mein dil ghamzada hai,
Jigar tukray tukray hua ja raha hai.

Share This Post

Leave a Reply