Share This Post

Manqabat / Urdu Lyric

Kya Husn-E-Ifteqar Hai Yaad-E-Hussain Mein

Kya husn-e-ifteqar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein,
Har ashq ek bahaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein

Darbar-e-Mustafa ki fazeelat na poochhiye,
Insaan ka waqaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein

Har ashq kalma parhte hain bar deen-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Kya husn-e-yaadgaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein

Wallah sar ba sar hai wo iman ka sukoon,
Jo qalb-e-beqaraar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein

Dil zindagi mein kaise na ho khuld aashiyaan,
Islam ki bahaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein

 

Share This Post

Leave a Reply