Mujhay ataa koii naam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun
Mayra bhi koii maqaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun
Madina e paak kay safar mayn wo marhalay aa-ayn gay yaqeenan
Safar simatt kar dogaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun
Jahaan ghulamaan e mustafa kay hazaar haan qaafilay rukayn gay
Wahaan mayra bhi qayaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun
Huzur ki bazm e khaas hogi huzur say arz e haal hogi
Mujhay bhi izn e kalaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun
Huzur farma-ayn gay yay mujh say, hamayn bhi naatayn sunaaii ja-ayn
Qaseedah gustar ghulaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun