Sar se paa tak har adaa hain lajawaab
Khoobrooyo me nahi Tera jawaab
Husn hain bemisal surat lajawaab
Me fida Tum Aap ho Apna jawaab
Pooche jaate hain amal me kya kahoo
Tum sikaa jao mere Maula jawaab
Palte hain hum se nikamme beshumaar
Hain kahi Us Aastaane ka jawaab
Roz e mahshar aik Tera aasra
Sab sawaalo ka jawaab e lajawaab
Me yad e baydaa ke sadqe Ae Kaleem
Par kahaa Un ki Kaf e Paa ka jawaab
Kya amal tu ne kiye us ka suwaal
Teri rahmat chaahi hain mera jawaab
Mehr o maa zare hain Un ki raah ke
Kaun de Naqsh e Kaf e Paa ka jawaab
Tum se us beemaar ko sehat mile*
Jis ko dede Hazrat e Esa jawaab
Dekh Rizwaan Dasht e Taiba ki bahaar
Meri jannat ka na paaye ga jawaab
Shor hain lutf o ataa ka shor hain
Maangne waala nahi sunta jawaab
Jurm ki paataash paate ahle jurm
Ulti baato ka na ho seeda jawaab
Par Tumhare lutf aare aagaye
De diya mahshar me bepursish jawaab
Ae Hasan mehw e Jamaal e Rooh e Dost
Ae Nakeerain is se phir lena jawaab