Manqabat

Praises of Sahabah, Ahl ul-Bayt, Awliya, Shaykh, Murshid etc

Katle Hussain Asal Mein Marge Yazeed Hai

Katle Hussain (radi Allahu ‘anhu) asal mein marge Yazeed hai Islam zinda hota hai har karbala ke baad Ohh Shimar leyin zalim kya zulm kiya tu ne Pyasa hi gala kata Pani na diya tu ne Laash ayi jab Asghar ki Maan kehne lagi roo ke Pyasa ki gala kata pani na diya tu ne Wo kis ke nawase hai bhoke hai ya pyase hai Itna bhi na socha mardood zara tu ne Sar apna kataya itni bhi parwa na ki tu ne batil ki Saabhaas tujhe Ae hud kya kaam kiya tu ne Mar kar bhi kabhie zalim aaram na paye ga Baagh-e-ghul Ahmad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko paamaan kiya tu ne  

Kya Husn-E-Ifteqar Hai Yaad-E-Hussain Mein

Kya husn-e-ifteqar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein, Har ashq ek bahaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Darbar-e-Mustafa ki fazeelat na poochhiye, Insaan ka waqaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Har ashq kalma parhte hain bar deen-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kya husn-e-yaadgaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Wallah sar ba sar hai wo iman ka sukoon, Jo qalb-e-beqaraar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein Dil zindagi mein kaise na ho khuld aashiyaan, Islam ki bahaar hai yaad-e-Hussain (radi Allahu ‘anhu) mein  

Karbala Ki Hai Yaad Aai

Karbala ki hai yaad aai, ab aashk bahaaney do suey huey pehlu mein sab dard jagaaney do Sughra (radi Allahu ‘anha) sey kahaa Shah (radi Allahu ‘anhu) ne, mat roko mujhe beti Deen lutatha hai Nana ka sar dey key bachaaney do Akbar (radi Allahu ‘anhu) ki shahadat par Sakeenah (radi Allahu ‘anha) sey kahaa Shah (radi Allahu ‘anhu) ne armaan ka yeh lashaah mujh ko hi lutaney do Qur’an mera dil hai Qur’an ki mein jaan hun Qur’an ko neyzay par Qur’an sunaaney do Fatimatu Zahrah (radi Allahu ‘anha) ka hai doodh piya mein ney is doodh ki Karbal mein ab laaj nibhaaney do  

Kya Deen E Mustafa Ko Jagaya Hussain Nay

Kya deen e Mustafa ko jagaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) ne Karbal mayn sara kunbaa luttaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay Aisa namaaz e ishq ka sajda ataa kiya Sar ko jhukaa kay arsh hilaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay Dars e Tawhid day kay ghulaamon ko aap nay Kufr o shirk ki garr mittaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay Sajday mein sar kattaaya he parrh kar namaaz e ishq Nayzay pay charrh quraan sunaaya Hussain (radi Allahu ‘anhu) nay  

Kabhee Laichalo Mujhe Karbala

Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala Kia us pai hoga falak ghira Jahaan par Hussain (radi Allahu ‘anhu) ka tha Sar Kata Tha tabassum un kai zair-e-Lab Jab kar dya Kumbaa fidaa Tha ajab khilona vo teer bhee Jo Nanai seenai main tha lagaa Terai Sajdai ko karoon sajdai main Usai pyaar kitnaan karai Khudaa Teri iss ada pai naan reh saka Tujhai paas apnain bulaa lyaa Tera pyaar ban gayee us ki yaad Vo jiss kai agai tha tu jhukaa Choomoon main farsh-e-khaas ko Jis par vo paak Lahoo bahaa Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala  

Haq La ilaha illa Llah

Haq La ilaha illa Llah Aese kalme dei raaz niyazi ne Aese dubde behre tare ne Sanu daseya Habeeb pyare ne Haq La ilaha illa Llah Do laal Madine ooh aye ne Bibi Fatima dei oe jaye nei Jibriel ne goad khidaye ne Haq La ilaha illa Llah Bina zikar howe manzori na Dar baar hazoor hazoori na Bin rehbar paindi pori na Haq La ilaha illa Llah Bina tail dei diwa  balda na Bina pani oo botha phal da na Bina murshid rah lab da na Haq La ilaha illa Llah Is kalme dei harf ne chaar miyaan Jiywein chaar Nabi dei yaar miyaaan oo jine ditthi aa kufar noun haar miyaan Haq La ilaha illa Llah Niza waqt kalma naseeb kare Mera shafa’a apna Habeeb kare Meri qabbar Madine kareeb kare (AMEEN) Haq La ilaha illa Llah  

Ey Imam Ahmad Raza

Tu ne batil ko mitaya hai imam ahmed raza deen ka danka bajaya hai imam ahmed raza dour-e-batil aur zalalat hind me tha jis ghadi tu mujadded ban ke aaya ae imam ahmed raza ahle sunnat ka chaman ujda huva veeran tha pheer utha tu jab ke aaya ae imam ahmed raza tu ne baatil ko mita kar deen ko baqshdi jila sunnato ko phir jilaya ae imam ahmed raza ae imam ahle sunnat naibe shahe umam kijiye ham par bhi saya ae imam ahmed raza hashr tak jari rahega faiz aqa aap ka faiz ka dariya bahaya ae imam ahmed raza  

Dar Peh Bulaao, Makki Madni

Dar peh bulaao, Makki Madni (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) BigRi Banaao, Makki Madni Deed Teri hai, eid meri Deed karaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mehshar may ho lab peh meray ‘Mujh ko Bachaao, Makki Madni’ Dar peh bulaao, Makki Madni Apnay  nawasoon kay sadqay Dukhray mitaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Gumbad-e-Khazraa ke saae tallay Mujh ko sulaao, Makki Madni Dar peh bulaao, Makki Madni Mangta hoon mein sawaali hoon. Ishq-e-Nabi  ka pujari hoon Thokarein khaata hoon dar dar ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Har saans mein Madina hai. Muskhkil ab mera jeena hay Dil mein tamanna hai Taiba ki. Dar peh bulaao, Makki Madni BigRi banaao, Makki Madni Barsoon say akhiyaan tarsee Jalwaa dikhaao, Makki Madni Dar peh Bulaao, Ma...

Bachaya Hai Hussain ne Deen ko

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko Ke karbala me kata kar apne sar ko Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Qurbaan kar diya apne nane se asghar (radi Allahu ‘anhu) ko Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya Hussain (raziallahu tala anhu) Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko Duaa kar dete Hussain (radi Allahu ‘anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain (radi Allahu ‘anhu) ko Maan najdi yazid ku...

Badi Shay Hai Nisbat-E-Mustafa

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hai waseela apni najaat ka Shah-e-ambiya ki jo Aal hai, Barha uska jaah-o-jalaal hai, Nahin uski koi misaal hai, Wo habib-e-haq ka jamaal hai, Nahin kaal is mein ye haal hai, Mila usko kaisa kamaal hai, Ye Khuda-e-pak ki hai ataa, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam, Barhe muttaqi barhe nek naam, Wo hain badshah to hain hum ghulam, Bane unke madhha tara tamaam, Barha uncha har ek ka hai maqaam, Hue pehle hazrat Ali Imam, Jinhe sab ne Asadullah kaha, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Hain Hassan Imam Hussain bhi, Hain Ali Raza wo Naqi Taqi, Hain Imam Baqir-o-Kazmi, Kahin Abdi kahin Ja’fari, Koi Mahdi koi hai Askari, Hai har ek Rasool ki raushni, Mili unse duniya ko hai zia, Badi shay hai nisbat-e...

Bhar Do Jholi Meri

Shah-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  suno ilteja Khuda ke liye Karam ho mujh pe Habeeb-e-Khuda Khuda ke liye Huzoor ghuncha-e-ummeed ab to khil jaaye Tumhaare dar ka gadaa hoon to bheek mil jaaye Bhar do jholi meri ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Lautkar main na jaaunga khaali Tumhaare aastaane se zamaana kya nahin paata Koi bhi dar se khaali maangne waala nahin jaata Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tum zamaane ke mukhtaar ho ya nabi Bekason ke madadgaar ho ya nabi Sab ki sunte ho apne ho ya ghair ho Tum ghareebon ke gham-khwaar ho nabi Bhar do jholi meri Sarkaar-e-Madeena Bhar do jholi meri Taajdaar-e-Madeena Hum hain ranj-o-museebat ke ...

Zindagi Da Koi Tay Maeyaar Hona Chahida

Zindagi da koi tay maeyaar hona chahida ALLAH (subhanahu wa ta’ala) de HABEEB (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) naal piyaar hona chahida Saanu ay ho dassayya Siddique (radi Allahu ‘anhu) Yaar-e-Ghaar nay Kay sab kujh Sohnay tou nisaar hona chahida ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Aur houn jaan saaday tay, ALLAH ay enayataa kay juunday juunday Sohnay da dedaar ho chahida ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Aur koi tamanna see, Siddique Yaar-e-Ghaar de Kay Yaar naalay Yaar da Mazaar hona chahida ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Hasan (radi Allahu ‘anhu) tay Hussain (radi Allahu ‘anhu) tou, jind jaan waar kay Ali (R.A) day gulama cho shumaar hona chahi da ALLAH de HABEEB naal piyaar hona chahida Ay labba tay Niyaazi ho, saa jaddo aakhri Uss wai...