Islamic Lyrics

Aaj Muhammad Aye Moray Ghar

Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj Warafa’na ka Husn-e-mujassam Allahu akbar Subh-e-azzal hai Mukhra un ka Shaam-e-awad hai Zulf ka saya Unse hua har qalb munawwar Mehndi lagaon ghar ko sajaon Main angan mein naachon gaaon Tann mann waaron Unke Charan par Aao sakhio mill kar gayein Apne Piya ka jashn manayein Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Rim jhim barse noor ki barkha Aaya hai mi’raj ka Dulha Dharti aur aakaash se behtar Dosh pe youn Gesu lehraye Bheeni bheeni khusboo aye Rang-o-nighat saara manzar Amina Bi ka Raaj Dulara Kitna anokha kitna pyaara Chaand uttar aaya hai zameen par Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha Pohnche jab aflaak pe Aaqa  (salla Llahu ...

Aa Gaye Sarkaar

Aa gaye Sarkaar  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan Nabian de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main bismillah karan Aamina da Raajdulhara aagaya Khirr payi gulzaar main bismillah karaan Ji bismillah karaan Main bismillah karaan Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) main bismillah karan Nabian de Sardaar main bismillah karan Gowd wich leke Halima (radi Allahu ‘anha) ne keya Aaja mere Laal main bismillah karan Aa gaye Sarkaar main bismillah karan Nabian de Sardaar main bismillah karan Aakheya Rabb ne raat meraj di Aaja Mere Yaar main bismillah karan Aa gaye Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan Nabian de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)main bismillah karan Eho dua mangda Baghdadi har wele Khwaa...

Bohot Din Ho Gaye

Bohot din hoo gaye, Taiba ke raste dekh to Aayein Chalo uss Shehr ko ik baar phir se dekh to Aayein Uttar jaayegi mehroomi ki chaadar Shehr-e-Taiba mein Chamak utheinge qismat ke sitaare dekh to Aayein Judaai ke dhuleinge naqsh gehre dil ki takhti se Charhega rang qurbat wo, nazaare dekh to Aayein Ussi din aarzuon ke khandar mein roshni hogi Dar-e-Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke roshan ujaale dekh to Aayein Huzoori ki wo pehli pehli saa’at khoob rulaati hai Nigaahon ko ussi dar ki tallab hai dekh to Aayein Haseen palkhon ka chilmann kholeinge jaa kar Madine mein Sadaa aankhon mein rakheinge wo jalwe dekh to Aayein Mehekti khushbooein khud hi pataa uss Shehr ka deingi Ujaagar utho himmat karlo chalke dekh to Aayein Bohot din hoo gaye, Taiba ke raste dekh to Aayein Chalo uss...

Bas Mera Mahi Salli ‘Alaa

Bas mera maahi Salli ‘alaa Bas mera maahi Salli ‘alaa Main kuch wi nahi Main kuch wi nahi Bas mera maahi Salli ‘alaa Bas mera maahi Salli ‘alaa Main koja te rajj ke koja Koja jiwein hanera Oh sohna te rajj ke sohna Sohna jiwein sawera Bas mera maahi Salli ‘alaa Bas mera maahi Salli ‘alaa Ik sohna utton moun da mitha Naale qaatil nain nasheele Tauba tauba kaun bachaye Ethe lutte gaye ne qabeele Bas mera maahi Salli ‘alaa Bas mera maahi Salli ‘alaa Zulf de har har kundal utte Aashiq da dil dole Wekh ke Sohneya soorat teri Kaafir kalima bole Bas mera maahi Salli ‘alaa Bas mera maahi Salli ‘alaa Khulq Tere ne moh layi dunya Koi wirla jaan bachaawe Edda sohna Maahi sanu Kitte wi nazar na aawe Bas mera maahi Salli ‘alaa Bas mera m...

Hum Khaak Hain

Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara Khaki to wo Aadam Jadd-e-Aala hai hamara Allah hamein khaak kare apni tallab mein Ye khaak to Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se tamgha hai hamara Jis khaak pe rakhte the qadam Sayyid-e-Aalam (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Us khaak pe qurbaan dil-e-shaida hain hamara Usne laqabe khaak shahenshaah se paaya Jo Haidar-e-Karraar ke maula hai hamara Aye muddaiyo khaak ko tum khaak na samjho Iss khaak mein madfoon Shah-e-Batha hai hamaara Hai khaak se taameer Mazaar-e-Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ma’moor isi khaak se qibla hai hamara Ham khaak uraeinge jo wo khaak na paayi Aabaad Raza jiss pe Madina hai hamara Hum khaak hain aur khaak hi maawa hai hamaara Khaki to wo Aadam Jadd-e-Aala hai hamara

Hum Bhi Aye Kaash

Hum bhi aye kaash Madine mein bulaaye jaate Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke mehmaan banaaye jaate Zindgaani ko bhi jeene ka saleeqa aata Raat bhar Unki huzoori mein jagaaye jaate Wajd mein hoke bhi eik hosh ki dunya hoti Parde aankhon se meri itne hattaaye jaate Aapke (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) qurb ki khushbu ki sa’adat ka nasha Dekhte Roza-e-Purnoor ko aate jaate Eik jharri ansuon ki nazr-e-aqeedat karte Daagh-e-isyaan bhi issi tarha mittaaye jaate Martaba apna bhi shahon se zyada hota Unki dehleez pe jab Shaad bithaaye jaate. Hum bhi aye kaash Madine mein bulaaye jaate Shah-e-Konain (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke mehmaan banaaye jaate

Dil Da Chain Qaraar

Dil da chain qaraar Tussi ho Dil da chain qaraar Tussi ho Dil da chain qaraar Tussi ho Sabhaan de Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tussi ho Main ki dassan dunya kehndi Nabiyaan de Sardaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tussi ho Meriyan sochaan de wich har damm Hor nahi Sarkaar  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Tussi ho Taade hondeyan kaadiyan fikraan? Maalik te Mukhtaar Tussi ho Aap di Aal da main haan kammi Mere baagh-o-bahaar tussi ho Jinna naal zia diyan izzataan Oh Aali Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tussi ho Dil da chain qaraar Tussi ho Sabhaan de Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tussi ho Dil da chain qaraar Tussi ho Dil da chain qaraar Tussi ho

Rabi-ul-Awwal 2014 Nasheed Collection – Arabic

Welome to the blessed month of Rabi ul Awwal. In honor of this great event, we have collected five arabic nasheeds which are available to download in mp3. Maher Zain – Mawlaya | Vocals Only [wpdm_file id=1] [small_divider] Maher Zain – Assalamu Alayka | Vocals Only [wpdm_file id=3] [small_divider] Ahbab al-Mustapha – Mawlid Nasheed [wpdm_file id=5] [small_divider] Beautiful Arabic Nasheed – Allah Is The Most Forgiving & Merciful [wpdm_file id=4] [small_divider] Muhammad Al Muqit Rahat Nasheed – Arabic Nasheed [wpdm_file id=2]

Zarrey Jharr Kar Tere Payzaron Ke

Zarrey jharr kar tere payzaron ke Taaj-e-Sar bante hain Saiyaaron ke Hum se chorron pe jo farmayein karam Khil’ate zar bane pushtaaron ke Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka woh dar hai jis par Maathe ghiss jaate hain Sardaaron ke Mere ‘Isaa tere sadqe jaoon Tor be-tor hain bimaron ke Tere abru ke tassaduq pyare Band qurrey hain gariftaaron ke Jaan-o-dil tere qadam par waare Kya naseebe hain tere yaaron ke Siddique ki sadaqat -Zindabad! Farooq ki adalat – Zindabad! Uthmaan ki sakhawat – Zindabad! Haidar ki shujahat – Zindabad! Siddq-o-Adl-o-karam-o-himmat mein Char su shohrrey hain in chaaron ke Tere tasleem-e-‘Ali maidaan mein Sar jhukkey rehte hain talwaaron ke Kaise Aqaaon ka banda hoon Raza Bol baale meri Sarkaron ke Zarrey jharr kar t...

Khaak-e-Madina Hoti

Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Aaqa aggar karam se Taiba mujhe bulaate, Roze par sadqe hota, Unn par nisaar hota. Mar mitt ke khoob lagti mitti meri thikaane. Gar Unn ki rahguzzar par, mera mizaar hota. Bechayn dil ko ab tak samjha bujha ke rakha. Baad iske ab to Aaqa nahin intezaar hota. Woh bekasson ke Aaqa, bekass ko ghar bulaate. Kyun sab ki thokarron par, parrh kar khwaar hota. Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ab to bulwa lo, mujh se mujrim ko bhi paas Apne. Main khud ko waar deta, bas khaak saar hota. Taiba main gar muyassar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basta, dil ko karaar hota. Aaqa ke qadmon mein gar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basta, dil ko sukoon hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Kh...

Aaj Milaad-e-Nabi Hai

Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai. Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya. Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai. Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam. Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai. Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se. Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai. Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka. Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka. Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka. Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka. Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye. Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai. Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar. Mustafa (salla Llahu ‘...

Shehr-e-Taiba Ke Chamman Ki

Shehr-e-Taiba ke chaman ki har kalli ki khayr ho. Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Madine ki galli ki khayr ho. Su-e-Taiba jaa rahe hain kafile ushaaq ke. Har gadda-e-Mustafa ki hazri ki khayr ho. Maangte hain khayr aksar log apne waste. Mustafa ke labb pe hai, har ummati ki khayr ho. Aap ke Siddique ka rutba rahe baala sadda. Aap ke Shabbir o Shabbar, aur ‘Ali ki khayr ho. Jab Bilal-e-basefa ko kafiron ne di saza. Ishq bola tere ashiq ki ashiqi ki khayr ho Aap ko pohncha diya jab ghaar mein Siddique ne. Khud Khuda bola tumhari dosti ki khayr ho. Karbala mein haqq ada tune kiya islaam ka. Aaye ‘Ali ke Laal teri bandagi ki khayr ho. Likh rahe hain jo sana-e-Mustafa, Nasir sadda. Aise saare shayaron ki shayari ki khayr ho. Shehr-e-taiba ke chaman ki har kalli ki...