Das ni Haleema Saadia (radi Allahu ‘anha) kitho le aayi ay Sohna (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Laal. Akhiyan mazaagh al-bassar, Wa-layl de wingrhe (kundle) waal, Lukda phirda Chan asmaani, Wekh ke husn O jamal. Das ni Haleema Saadia, kitho le aayi ay Sohna Laal. Teri daachi si kamzoor barri, kiwein ho gayi ay shahzor barri, Tu lang gayi ay picche reh gayia, Tenu tak tak sochdi reh gaiya, Jad da Sohna Madni aaya eh, (Jad da Sawaar Haseen aaya) Teri ho gayi wakhri shaan (chaal). Das ni Haleema Saadia, kitho le aayi ay Sohna Laal. Oh bole taan farmaan (sultaan) bane, Odhe hont hillan Quran bane, ‘Allam nashrah laka sadrak. Warafa’na laka zikrak. Sohne di tareef karaan main, Jidda Wasif ay Zul Jalaal. Das ni Haleema Saadia, kitho le aayi ay Sohna Laal.
Na baharein na hi gulzaar nazar aate hain Jiss taraf dekh lo Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazar aate hain Aaj bik jaun, ke yeh mauka na ayega kabhi Aaj woh khud hi kharidaar nazar aate hain Aise lagta hai mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) challe aate hain Raqs karte dar-o-deewar nazar aate hain Ankh se ansoo nahi, sajde gira karte hain Jab tere Gumbad-o-Minaar nazar aate hain Jis ki qismat mein ho Taiba ki galli ke phere Woh na jannat ke tallabgaar nazar aate hain Aise lagta hai mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) challe aate hain Wajd karte dar-o-deewar nazar aate hain Qadmon ka kaam hai yeh dagmaagate hain Dil to gir jaayein jahaan wahin parre rehte hain Unke aane ki gharri hai woh hain aane waale Mere Sarkar ki mehfil ko hum saajaye hue hain Mai...
Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay, Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay. Ham daray Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekhtay reh ga-ay, Noor hi noor tha, dekhtay reh ga-ay. Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa, Soorat-e-Mustafa dekhtay reh ga-ay Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa, Muqtadi muqtadaa dekhtay reh ga-ay. Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam, Log acha buraa dekhtay reh ga-ay Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa, Hum to unki adaa dekhtay reh ga-ay Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum, Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay reh ga-aye Baar baar tauba ki aur phir torr di Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe Ya Rasul Llah ya Habiba Llah Mere sar ko Haram ki fiza chahiye Ya Rasool Llah ya Habiba Llah Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye Fazl-e-Rabb-ul-‘...
Tu kareem hai kar de karam. Tu raheem hai kar de karam. Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Dunya ki mohabbat ka qaidi hoon Mujhe apni mohabbat ata kar de Main kuch bhi hoon, Tera banda hoon Aye Maula mujhko reha kar de Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Teri rehmaton ka bas taalib hoon Mujhe apni himayat aata kar de Main mujrim hoon, main mujrim hoon Aye Khuda tu mujhko reha kar de Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Mere har ik saans mein bass jaaye Tere dhikre munnawar ki khushboo Tere dhikre muqaddas ki khushboo Ho Ka’aba mere tassawur mein Meri nass nass bole Allah Hu Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Phir josh e Bilali paida ho Muslim ki paak azaanon mein Phir haidri naare gunj uthein Batil ke sab imaanon mein Allah Allah Allah Allah...
Allah Allah kariye taan gall bann di ay Kaamil Murshid pharriye taan gall bann di ay Allahu diyan zarban laa ke seene te Seena roshan kariye taan gall bann di ay Aqalmanda nu puthiyan sochan le dubbiyan Murshid de sang challiye, taan gall bann di aye Murshid da kamm haq de raste paa dena Pair sambhal ke dhariye, taan gall bann di ay Dil wich naqsh bitha ke sohne Murshid da Murshid murshid kariye taan gall bann di ay Apna aap mitta ke milye murshid nu Marran ton pehlaan marriye, taan gall bann di ay Sirr nazrana kariye sirr de saiyeen ton Naa de ehna te marriye, taan gall bann di ay Allah Allah kariye taan gall bann di ay Kaamil Murshid pharriye taan gall bann di ay
Allah kare ke ho jaaye guzar Taiba ki galliyon se. Main saari zindagi kar doon bassar Taiba ki galliyon mein. Hua jo Aamina Bi ki goad mein Tera zahoor Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Khud Jibriel ne yeh di khabbar Taiba ki galliyon mein. Jo dekha Gumbad-e-khadra ke saaye mein kharre ho kar. Jamaal-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aaya nazar Taiba ki galliyon mein. Tere Darbaar ka darba banoo main bhi kabhi Aaqa. Mere Dilbar mujhe bhi ho fakhar Taiba ki galliyon mein. Hawaaein rehmaton ki wahaan subho o shaam chalti hain. Barasta noor hai sham o sahar Taiba ki galliyon mein. Tere dar ke galli kooche jo palkhon par uthaoon main. Meri saari guzar jaaye ummar Taiba ki galliyon mein. Jo tukre ho gaya tha mere Aaqa ke ishaare par. najdi tum ne nahi dekha qamar Taiba ki...
Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sunaunga. Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba. Wiladat-e-Shah-e-Deen Ka Maheena Aaya Hai Galli Makaan Dukaan Aaj Sab Sajaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-E-Nabi(salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sunaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga. Khuda Ke Fazl Se Phir Baarvi Ki Raat Aayi Dil-e-Hazi Mein Khushi Ke Diye Jalaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Sunaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-...
Har taraf anwar ki barsat hai, Mehfil-e-Sarkaar ki kya baat hai. Raat jo guzri Nabi kay zikr mein, Din se behtar woh hamari raat hai. Kyun mein mangoon jab mere kashkol mein, Naqsh-e-Naal-e-Paak ki khairaat hai. Kyun pareshan hoon mein uqhba key liye, Shafa-e-Rauz-e-Jaza woh Zaat hai. Wali-e-kaun-o-makaan kay zikr say, Wajd mein yeh sari kainaat hai. Yoon to gumbad hai jahaan mein har jagah, Gumbad-e-Khazra teri kya baat hai. Nausha-e-Bazm-e-Jina kay waaste, Anbiya ki saf ba saf baraat hai. Kis tarha likhoon main midhat Aap ki, Jab madha khawan khud Khuda ki zaat hai. Kis qadar Rehaan khush qismat hai tu, Teri bakhshish ka waseela Naat hai. Har taraf anwaar ki barsaat hai, Mehfil-e-Sarkar ki kya baat hai.
Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa Sab Noor ko Mila ke Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo De rahe hain farishte salaami Tum duroodo ki maala banaa lo Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo Apne mangto ko Wo paalte hain Wo bhala kisi ko kab taalte hain Sadqa Hasnain-o-Ghaus-ul-Waraa ka Ya Nabi meri jholi me daalo Aagayi Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo Kar ke Naaton se har soo charaagha Youn manaaeynge jashn-e-bahaara Aashiqo Aamad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai Deep Khushiyon ke har soo jala lo Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari Apne ghar ko diyo se ...
Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein. Gham ki chaadar jo kabhi odh ke so jata hoon Jaagti rehti hai Aaqa ki tamanna dil mein. Uss ghari meri maddad karte hain mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jab bhi ho jati hai uljhan koi paida dil mein. Dil issi waaste reh reh ke dhadakta hai mera Kyunke rehte hain hamesha mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)dil mein. Eik eik cheez mujhe saabz nazar aati hai Bass gaya jab se sakhi Gumbad-e-khazra dil mein. Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein.
Lajpaal Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mere, Dardan di dawa dena. Jad waqt-e-naza aaye, Daaman di hawaa dena. Mar chalya haan ro ro ke, Wich hijr de mehbooba. Bechain nigahwaan noon, Deedar kara dena. Mar chalya haan ro ro ke, Wich hijr de mehbooba. Hun saanu wi aye Aaqa, Deedar kara dena. Khairat ata karna, Sarkar di marzi aay. Mera tay si kam mangna, Jholi nu wicha dena. Main naat Teri parhna, Main zikr Tera karna. Aes zikr di barkat naal, Meri qabr wasa dena. Sarkar di mehfil wich Jholiyan phela baithe. Lajj rakh layeen we Lajpaala! Khaali na utha dena. Dil rownda ay jaande ne, Jadon loki Madine noo. Hun saanu wi aye Aaqa, Darbaar wikha dena. Saim di tamanna aay, rahwe aake Madiney wich. Bhawe Taiba de kutteyan de, pairaanch bitha dena. Aasi di tamanna aay, Rahwe aake Madine...
Main to khud Unke Dar ka gadda hoon, Apne Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko main nazar kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon Aane waali hai Unki tareekh, Phool naaton ke ghar ghar saajja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamma jala doon Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon Mere aansu bahut qeemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai Khak-e-Madinah, Ye gauhar yun hi kaise lutta doon Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmayein kisko sadda doon Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha ho...