Islamic Lyrics

Ae Shahenshah E Madinah

Aye Shahenshahe Madina, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam Rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay Rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam sar jhuka kar ba adab ishq-e Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may, keh raha he har sitara assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d mayra laasha bhi kahe...

Madine ki baatein, Madine ki baatein

Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar Jo hai saare aalam ke Sarwar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rabb ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke ja...

Alhamdulillah I am a Muslim

I am a Muslim and Allah (subhanahu wa ta’ala) I praise; For all His blessings, my voice I raise, In One God I believe, no equal has He; Lord of the Universe, compassionate to me. Muhammad the Prophet (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) , taught me the way; To be honest and truthful, throughout each day. The Noble Qur’an, in life is my guide; It’s teachings I follow, by it I abide. Islam, my religion, preaches good deeds; Mercy and kindness, the right path it leads. Upon all humanity Allah showers His grace; Regardless of colour, nationality or race. By working together our hopes increase; To live in a world full of love and peace. I am a Muslim, and Allah I praise; For all His blessings, my voice I raise.  

Qareeb-E-Mustafa He Koii Koii

Qareeb e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai koii koii Mazay yay luutt-ta he koii koii Bashar samjha unhayn laakhon nay laykin Haqeeqat e aashna he koii koii Ghaneemat jaan jitni bhi mili he Kay mekhaana khula he koii koii Madinay pohnchtay hain yuun to laakhon Par, madina dekhta he koii koii Tayray rozay ki Noori jaaliyon ko Nazar say choomta hai koi koi  

Pekar E Dilruba Ban Kay Aaya

Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya  

PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE

PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE MARIZE ISHQ KI LAAYI DAWAA MADINE SE MILLE HAMAARE BHI DIL KO JILAA MADINE SE KE MAHR-O-MAAH NE PAAYI ZIA MADINE SE JO AAYA LE KE GAYAA KAUN LOUTA KHAALI HAATH BATAAYE KOYI SUNAA HO JO “LAA” MADINE SE WO GAYAA KHULD ME JO AA GAYAA MADINE ME GAYAA WO KHULD SE JO CHAL DIYAA MADINE SE MADINA CHASHMA-E-AABE HAYAATH HE YAARO CHALO HAMESHA KI LE LO BAQAA MADINE SE CHALE JO TAIBA ME MUSLIM TO KHULD ME POHONCHE KE SEEDHAA KHULD KA HE RAASTA MADINA SE TUMHAARE QADMO PE SAR SADQE JAAN FIDA HOJAYE NA LAAYE PHIR MUJHE MERA KHUDA MADINE SE TERE HABEEB KA PYAARA CHAMAN KIYA BARBAAD ILAAHI NIKLE YE NAJDI? BALAA MADINE SE TERE NASEEB KA NOORI? MILEGA TUJH KO BHI LE AA’E HISSA YE SHAAH-O-GADAA MADINE SE  

Phir Ke Galli Galli Taybah

Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon Yaade Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki qasam gaflate aish he sitam Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon Jaan he Ishq e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) roz fizoo kare Khuda Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa uthae kyoon Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon  

Pukaroo Shahe Jilaan Ko Pukaro

Pukaroooo Pukaroo Shahe Jilaan ko pukaro Badal jaye ghi Qismat be saharo Pukaroo Ye dar Mehbhoobe Subhnai ka dar hai Beqari ban ke aao Taajdaro Pukaro har gari ya Roosel Azam Guzaro zindagi bas youn guzaro Tumhari reeat hai bhere tarana Mori niyaan bhi mila paar utaro Ye zarre kochae Baghdaad ke hai Karo sajde yahan pei chaand taro Mori Jilaan takhaf un ka hai farmaan Na ghabrao zarra bhi gham ke maro  

Pooch Te Kya Ho Madine Se

Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon Apni aankhaun mein Madine ko basa laya hoon Dil bhi mera hai waheen Jaan bhi meri hai waheen (to phir lekar kya aae ho) Apne kaandhaun par apne laashay ko utha laya hoon Jisne choome hai Qadam Sarwaray ‘Alam ke Khaak e Taibah ko mai apni palkuan pay saja laya hoon Saya e Gumbade Khazra me ada karke namaaz Apne sar ko mai Arsh ka hum paya bana laya hoon Jaan o dil wahaan rakh ke amanath ki tarha Phir wahaan janay ke asbaab bana laya hoon  

Pukaro ya RasululLlah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukaro! Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Subho Tayba mey huwi bat-tha hai bara noor ka Sadqah leyney Noor ka aya hai tara Noor ka Barawi key chaand ka mujra hai sajda noor ka Bara bur jo sey juka ik ik sitara noor ka Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukaro! Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Baaghey Tayba mey suhana phool phoola Noor ka Mast bu hai bulbulay parthi hai kalma Noor ka Taaj waley deykh kar Teya imama Noor ka Sar jh...

Na Chedo Zikr E Jannat

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai...

NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE

NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE UTHAA LEJAAYE THORI KHAAK UNKE AASTAANE SE TUMHAARE DAR KE TUKRO SE PARAA PALTA HE EK AALAM GUZAARA SUB KA HOTAA HE USSI MUHTAAJ KHAANE SE SHAB-E-ASRA KE DOOLHA PAR NICHAAWAR HONE WAALI HE NAHEE TO KYA GARAZ THEE ITNI JAANO KI BANAANE SE NA KYU UNKI TARAF ALLAH SOU SOU PYAAR SE DEKHE JO APNI AANKHE MALTE HE TUMHAARE AASTAANE SE NA POHONCHE UNKE QADMO TUK NA KUCH HUSNE AMAL HI HE HASSAN KYA POOCHTE HO HUM GAYE GUZRE ZAMAANE SE