Madina saaddi jaan ay, Madina imaan ay Madina saaddi jaan ay, Madina imaan ay Do jag ton haseen ay, Madinay di zameen ay Madina saadda deen ay, Madina saaddi jaan ay Madinay di bahar ton, Tay Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) day har yaar ton Ay jind qurban ay, Madina saaddi jaan ay Madina sara nur ay, Nigawaan da saroor ay Dilaan da armaan ay, Madina saaddi jaan ay Tuun puchh quran ton, Tay puchh Rahman ton Madinay di ki shan ay, Madina saaddi jaan ay Dilaan nuun tarrpaawan di, Tay mast banawan di Madinay di azaan ay, Madina saaddi jaan ay Zameen o aasmaan da, Tay saaray hi janaahn da, Madina sultaan ay, Madina saaddi jaan ay Ay jag jo aabaad ay, Tay har koii shaad ay Madinay da ihsaan ay, Madina saaddi jaan ay Dardi is naat da, Tay saari gal baat da Madina unwaan ay, Madina saadd...
Allah hu Allah hu Dil pawe chaliyaan Mainu Sohne (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne bulaya main Madine chaliyaan Mainu karo ni teyaar, Gal pao pholaan dei haar Mainu millo waar-o-waar main Madine chaliyaan Haji chale nei Madine, agg parke mere seene Ais lagi hoyi agg noun bujaan chaliyaan Haji kar dei tawaaf nale chumde nei ghulaaf Main whi Ka’abe da ghulaaf houn chumman chaliyaan Khane Ka’abe dei minaar jithe lagi ae bahaar Ais lagi hoyi bahaar noun main wekhan chaliyaan Khane Ka’abe diyaan galiyaan jithe laya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ji ne taliyaan Ahnaan galiyaan da main bosaa lain chaliyaan Allah Hu Allah hu Dil pawe chaliyaan Mainu Sohne ne bulaya main Madine chaliyaan
Chaar su Rahmatoon ke ujaale huwey Bazm-e-kowneyn ke peyshwaa aa gaey Zaraey aflaak se baatein karney lagey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaey Mustafa aa gaey Gham ke maarey huwey muskaraaney lagey Zulmatoon ke makeen jagmagaane lagey Be kasoon ke muqaddar thekaaney lagey Sab ke muhsin habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaey Hazrat-e-Musa jin ko taraste rahey Ibn-e-Maryam bhi jin ki khabar dey gaey Pehley aaey huwey jin ke peechay kharhey Aaj woh khaatim-ul-anmbiya (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aa gaey Be zabaanon ko tarz-e-sadaa bakhsh di Fani insaaniyat ko baqaa bakhsh di Dushman-e-jaan ki har ik khata bakhsh di Ban key Rehmat Shafi-ul-waraa aa gaey Shab gazeedah ko nur-e-sahar de diya Kor-e-deedah ko zowq-e-nazar de diya Be nawa ko dua ka ...
Ghaus e azam mayra peer, Allah hi allah Saaray valiyon kay ameer, allah hi allah Mangton ko sultan banaya choron ko abdaal Sab ki jholi bhar daytay hain aise hain lajpal Har mushkil aasaan banatay hain peeraan e peer Rozon kay ayaam mayn a-ay mayray ghaus e paak Noor ki kirnay saatth la-ay mayray ghaus e paak Un kay ajaanay say ttootti kufr ki har zanjeer Jiss nay un ka naam liya he uss ka bayrra paar Jo un kay ho jatay heyn un ka he yay sansaar Aa-o sabhi un kay gunga-ayn jaag utthay taqdeer Mawla ‘Ali (radi Allahu ‘anhu) kay aap hain pyaray waliyon kay sardar Sab kay so-ay bhaag jaga do baghdadi sarkar Ham par bhi ho nazar e karam ham hain bahot dilgeer
Madinah deykhney ki aarazu hai meray seenay mein Ilahi! woh ghadi aaey keh mein pohonchun Madiney mein Hai mukhda wa-Duhah ka, zulf hai wal-Layl ki Teri Ghulaab-o-mushk sey barh kar hai bu Teray paseenay mein Karein gey mujh sey aasi par bhi woh lutf ki baarish nah tha yeh qiyaas mein meray, nah tha meray qareeney mein Makeen-e-Ghunbad-e-Khazra! (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bula lo Apney qadmon mein Teri doori key nishtar rowz-o-shab chubhtey hein seenay mein Hun baada-e-khwaar Abid aur mey khanah ho woh jis mein ho Saaqi, saaqi Kauser mazah aajaaey peenay mein
Meri jholi ko bhar day eh khuda sadqay Muhammad(salla Llahu ‘alayhi wa sallam)kay Gunahgaron ka bhi kar day bhala sadqay Muhammad kay Hamaray haal pay daata karam apna sada rakhna Tuhi sheytaan say imaan walon ko bacha rakhna Har ik tufaan mayn dayna aasra sadqay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay Samajhti he yay dunya apna ham iman day dayn gay Magar iman ki khaatir ham apni jaan day dayn gay Hamay iss aazmaish say bacha sadqay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay Tayri rahmat ko ro ro kay ham aey malik jaga dayn gay Yay parday aasman kay ham dua-on say ghira dayn hay Hame noor e khuda say phir mila sadqay Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay Jahan mayn bay saharon ko faqat tayra sahara he Nahiin he koii bhi apna bas ik tu hi hamara he Jo ...
Madine ko jaaen yeh jee chahta hai Muqaddar banae yeh jee chahta hai Madine ke Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) do alam ke Mawla Tere pas aein yeh jee chahta hai Jahaan dono alam hai mahu taman’na Wahaan sar jhukane ko jee chahta hai Dilaun se jo nikle Diyare Nabi me Sune woh sadein yeh jee chahta hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki batein Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki Sirat Sune aur sunae yeh jee chahta hai Dare Pak ke saamne dil ko thame Kare hum duain yeh jee chahta hai Pahunch jae behzaad jab hum Madine To khud ko na payein yeh jee chahta hai
Madinay bula lo Madinay key waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh peyghaam ley ja saba jatay jatay HaN peygham lana meri haazri ka Barahey karam mehrbaN atay atay Teray dar peh aauN mey ban kar sawli Rahey saamney Teray Rowzay ki jali GhareeboN key Mowla yateemoN key waali Bari deyr kar di bulatay bulatay Idhar bhi nighahey karam ho Khudara Kabhi to muqadar ka chamkey sitara Meri umr guzri Teri barghah mey DuaoN ka daman bichatey bichatey Mey Teri sakhawat peh qurbaan jaun Mey kyun na Teray Dar peh daman bichauN Teray haath thaktey nahi Kamli waley Karam key khazaney lutatey lutatey Muqdar mey meray bhi aysi gadi ho Fizaey Haram ho diyare Nabi ho Darey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) peh meri haazri ho Nadamat keh ansuN bahatey bahatey Kabhi khanaey dil mey tashreef...
Manqabat Shaan e Imam e Azam Abu Haneefa RadiyAllahu Ta’ala Anhu Hum Aaimmah ke muqallid hain tamaam Hai Imamaun ka hamay bhi ehteraam Har Imam e waqt ne Deen ke liye Waqf ki hai jaan apni la kalaam Hai jahaan mein Hazrath Numaan bhi Mazhab Hanfi ke sar-kirdah Imaam Aapne chaha yehi aik aik pal Sur-khuru ho Ummate Khairul Anaam Ijtihaad aisa kiya Ai marhaba Mujtahid ho kar raha duniya me naam Masle tishnah na chore Aap ne Hal kiye uljhe huwe thay jo tamaam Waqt ke aahang ne Azam kaha Aap ko to Aey fiqiyah wa Ai Imam Faiz paya Aap se ahnaaf ne Wo saher ho ya ke ho wo koee shaam Nazar karna hai yeh mukhtaar e hazeen Aap ko Aye ABu Haneefa As-Salaam
Mere Sarkaar mere ghar ko sajaaney aaein Dil ki duniya main woh anwaar lutaane aaein Joh khazaan daar parhaa rotaa hai ik jhoownke ko Us kii jaanib bhii bahaaron keh zamaane aaein Shiddat e peyaas hai ik bosyah e paa ki jin ko Aese peyaason ko bhii diidar karaane aaein Taab e furqat bhii qiyamat hai mujhe wasl keh baad Woh mere ghar seh nah jane keh bahaane aaein Jin keh biimar ho muddat se woh aein ge zuruur Un kii galiyon seh hawaaein yeh bataane aaein Jin ki umeed peh tufano main ham kud parhe Naa khuda kashtiyon ko paar lagaane aaein Raat bhar yaad sitaaron neh keyaa ro ro kar Kaash woh chand merii bazm sajaane aaein Aey Madinay keh musaafir dar e jibriil keh paas Kehnaa gham khaar seh ham haal sunaane aaein
Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagii Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
Makkah main Kaba hay, Madinah main Kabe ka Kaba hay Makkah main Bait Ullah hay, Madinah main roza e Rasool Ullah hay Makkah main aab-e-zam zam ke chashme, Madinah main Muhammad ke karam ke chashme Makkah main Farshiyo ka Hajj hota hay, Madinah main Arshiyo ka Hajj hota hay Makkah main Jalaal hay, Madinah main Jamaal hay Makkah main Hira ki tanhaaiya hay, Madinah main Gunbad-e-Khazra ki rahnaiya hay Makkah duaao ka markaz, Madina Ataoo ka markaz Makkah main Guzarish , Madinah main Shafarash Makkah main larai haraam hay, Madinah se judaai haraam hay Makkah main maanga jata hay, Madinah main ataa kiya jata hay Makkah main zakhm sunaye jate hay, Madinah main zakhm mitaye jate hay….