Islamic Lyrics

Jitna Diya Sarkaar Ne mujh ko

Jitna diya Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen Ghaur tuh kar Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki tujh par, kitnii haas inaayat hai Kausar tu hai inka sanahaan, Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen  

Ik Baar Madine Mein

Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana Phir aur na kuch maangein, sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka diwana Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari kab aoun Madine? kab aey meri baari? kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana? Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do, Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana  

Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila Hayya ‘ala s-Salah, hayya ‘ala l-Falah Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne Sajde me ...

Ho Gaey Bazme Jahan Mey Khwaar Ham

Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham Ham buray hai ya balay jeysay bhi hai, aap key hai aey Shahe Abrar ham kasthi milath bhanwar main phans gaee, Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) uthray paar ham Ab tho qismath mey andheyrey reh gaey, roshni key thay kabhi minaar ham ley gaey kirdar ki dolath aduw, ab hai khaali saahibe gafthaar ham aasi-wo-khaathi sahi leykin Hazoor, Aap ki ulfath say hai sarshaar ham ab na khali haath lowtein Ya Nabi, ho gaey hain haazre darbaar ham Ho gaey bazme jahan mey khwaar ham chahthay hai ik nazar Sarkar ham  

Haq La ilaha illa Llah

Haq La ilaha illa Llah Aese kalme dei raaz niyazi ne Aese dubde behre tare ne Sanu daseya Habeeb pyare ne Haq La ilaha illa Llah Do laal Madine ooh aye ne Bibi Fatima dei oe jaye nei Jibriel ne goad khidaye ne Haq La ilaha illa Llah Bina zikar howe manzori na Dar baar hazoor hazoori na Bin rehbar paindi pori na Haq La ilaha illa Llah Bina tail dei diwa  balda na Bina pani oo botha phal da na Bina murshid rah lab da na Haq La ilaha illa Llah Is kalme dei harf ne chaar miyaan Jiywein chaar Nabi dei yaar miyaaan oo jine ditthi aa kufar noun haar miyaan Haq La ilaha illa Llah Niza waqt kalma naseeb kare Mera shafa’a apna Habeeb kare Meri qabbar Madine kareeb kare (AMEEN) Haq La ilaha illa Llah  

Hasbi Rabbi JallAllah

Hasbi Rabbi jalla Llah Ma fi Qalbi Ghair Allah Awwal -o- Aakhir, hai Allah Zahir -o- Batin, hai Allah Noor e Muhammad, salla Llahu La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu Kisi Nay poochha keh jannat kee koi qeemat hay kia To Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay kaha keh La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu La ilaha illa Allahu illallahu, illallah, illallahu illallah La ilaha illa Llahu Muhammad ur-Rasula Llah salla Llahu ‘alayhi wa sallam  

Har Dum Ho Mera Vird Madina Hi Madina

har dum ho mera vird Madina hi Madina bas yaad teri dil me rahe roz-o-shabina wo lamha wo din aur wo aajaye mahina phir kash tadapta huva pahunchu mai madina sina ho Madina mera sina so Madina ban jaye mera dil teri ulfat ka khazina aaye noo-e-khuda noor bhari dil pe nazar ho ho noor se pur noor ye be noor nagina Sarkar tamanna hai yuhi umr basar ho bas teri mohabbat me ho marna jina saqi muhje jaam aaisa mohabbat ka pilade utre na kabhi iska nasha aai sha-e-madina tum khak-e-madina mere lashe pe chidakna phir malna kafan par jo mile un ka pasina ATTAR talab gaar hai bas unke karam ka lillah karam jane karam bahre madina

Hai Yehi Qahesh Ke Raat Din Likhta Rahu Naat-E-Mustafa

hai yehi qahesh ke raat din likhta rahu naat-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) isse badkar aur kiya hogi aata-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) sajate raho mahafil aqidat se aur mohabbat se phir jald hogi mahafil me amad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) wala soufa yuu tika rabbuka fatarza kaha hai qur aan me rab ne dekho khuda bhi chahta hai raza-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chale the farooq (radi Allahu ‘anhu) khatl-e-Huzoor ke liye badal diye irada jab dekha chehra-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) padte raho durood-o-salam Aqa-e-do jahan par yaqinan hogi wajib shafaat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karde Mawla ab fazlo karam JABER pe take ye bhi ban jaye aashiq-e-Mustafa (salla Llahu ‘...

Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte, jo yaad e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se dil ko garmaya nehi karte ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte, Nabi ke naam lewa gham se gabraya nehi karte yeh he darbaar Aqa ka yahaaN milta he bemange, are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte Yeh darbaar e Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hi Yahaan apno ka kya kehna, Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr, yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  ki shaan e rehmet to zarah dekho, sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke baagh keh sabh phool aise hain, Yeh bepaani ke tarr rehte ha...

Ham Pay Karam Farmaatay Rehna

Ham pay karam farmaatay rehna Apnay paas bulaatay rehna Bigrri ban ja-ay gi baatayn Mahfil e naat sajaatay rehna Gham kay baadil chhatt ja-ayn gay Geet nabi kay gaatay rehna Dil ki muradayn bhar a-ayn gi Mahfil e naat mayn aatay rehna Husn ki zulfon mayn dil waalo Ishq ki maang sajaatay rehna Tahir he tayra divaana Uss ka mission pehlaatay rehna  

Hum Tere Se Aisa Pyar Karte Hain

Sallallah ’ala Muhammad Hum tere se aisa pyar karte hain Hum sab jaante hain, Insaano mein tere jaisa koi nahin hain, Hum Sab Maante hain, Teri azmat ka hum ko aur Allah ko aisa yaqeen hai Tu hi Sadiq hai tu hi Amin hai Jaanta asmaan aur zameen hai Aey Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tujhey salaam (4) Hum tere se aisa pyar karte hai Sallallah ’ala Muhammad (4) Ghaare Hira se jo nikli awaaz, Phaili jahan mein phir sach ki pukaar Zulmat ke but ko kiya pash pash, Insaan ka sab se bada rahnuma tu, Jahaan pe hai tere karam beshumaar Ghareebo ka saathi, yateemon ka baap, Be-qasson ka Sahara, sakhi be hisaab Khuda ki khudai ko samjhane wala Zalim ke seene pe hai-badd ka saaya Baaqi jahan ke liye sirf pyar Ham sab jaante hai, insaano mein tere jaisa koi nahin hai, Hum sab maante hai...

Haajiyo Aawo Shahenshah Ka Roza Dekho

Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekho Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho Gowr se su...