Share This Post

Urdu Lyric

Ik Baar Madine Mein

Ik baar Madine mein, ho jaey mere jaana
Phir aur na kuch maangein, sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka diwana

Pal Pal mera dil tarpe, din raat kare zaaari
kab aoun Madine? kab aey meri baari?
kab ja ge main dekhoun ga, darbaar woh shahaana?

Is aas par jiita houn, ik roz bulaey ge
aur gunbad-e-khazra ka, didar karaein ge
phir pesh karru gaa main, ashiqo bhara nazrana

Ik baar Madine mein ho jaey mera jaana

Bechain nighahon ko dedaar ‘ata kar do,
Daman mera kuch owse yaa shah-e-ummam barh do
Abad Khuda rakhe aaqa tera maikana

Itni si tamana hai, ho jaey agar puuri
jaane ko madina main, ho jaey jo manzuuri
bin diide ki aey shaahan, mar jaey na diwana

Ik baar Madina mein ho jaey mera jaana
Phir aur na kuch maange, sarkaar ka diwaana

 

Share This Post

Leave a Reply