Urdu Lyric

Praises of the Beloved (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Madinay Bula Lo Madinay Key Waali

Madinay bula lo Madinay key waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh peyghaam ley ja saba jatay jatay HaN peygham lana meri haazri ka Barahey karam mehrbaN atay atay Teray dar peh aauN mey ban kar sawli Rahey saamney Teray Rowzay ki jali GhareeboN key Mowla yateemoN key waali Bari deyr kar di bulatay bulatay Idhar bhi nighahey karam ho Khudara Kabhi to muqadar ka chamkey sitara Meri umr guzri Teri barghah mey DuaoN ka daman bichatey bichatey Mey Teri sakhawat peh qurbaan jaun Mey kyun na Teray Dar peh daman bichauN Teray haath thaktey nahi Kamli waley Karam key khazaney lutatey lutatey Muqdar mey meray bhi aysi gadi ho Fizaey Haram ho diyare Nabi ho Darey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) peh meri haazri ho Nadamat keh ansuN bahatey bahatey Kabhi khanaey dil mey tashreef...

Mere Sarkaar Mere Ghar Ko Sajaaney Aaein

Mere Sarkaar  mere ghar ko sajaaney aaein Dil ki duniya main woh anwaar lutaane aaein Joh khazaan daar parhaa rotaa hai ik jhoownke ko Us kii jaanib bhii bahaaron keh zamaane aaein Shiddat e peyaas hai ik bosyah e paa ki jin ko Aese peyaason ko bhii diidar karaane aaein Taab e furqat bhii qiyamat hai mujhe wasl keh baad Woh mere ghar seh nah jane keh bahaane aaein Jin keh biimar ho muddat se woh aein ge zuruur Un kii galiyon seh hawaaein yeh bataane aaein Jin ki umeed peh tufano main ham kud parhe Naa khuda kashtiyon ko paar lagaane aaein Raat bhar yaad sitaaron neh keyaa ro ro kar Kaash woh chand merii bazm sajaane aaein Aey Madinay keh musaafir dar e jibriil keh paas Kehnaa gham khaar seh ham haal sunaane aaein  

Khusrawi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi

Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagii Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi  

Madineh ki Azmaate

Makkah main Kaba hay, Madinah main Kabe ka Kaba hay Makkah main Bait Ullah hay, Madinah main roza e Rasool Ullah hay Makkah main aab-e-zam zam ke chashme, Madinah main Muhammad ke karam ke chashme Makkah main Farshiyo ka Hajj hota hay, Madinah main Arshiyo ka Hajj hota hay Makkah main Jalaal hay, Madinah main Jamaal hay Makkah main Hira ki tanhaaiya hay, Madinah main Gunbad-e-Khazra ki rahnaiya hay Makkah duaao ka markaz, Madina Ataoo ka markaz Makkah main Guzarish , Madinah main Shafarash Makkah main larai haraam hay, Madinah se judaai haraam hay Makkah main maanga jata hay, Madinah main ataa kiya jata hay Makkah main zakhm sunaye jate hay, Madinah main zakhm mitaye jate hay….  

Madinah Tun Nabi

There was merriment and joy a smile on the face of every girl and boy The streets of Yathrib welcomed in the Prophet of Allah Muhammad, salla Allahu ‘alayhi wa sallim A full white moon shone down upon the land rising from the valley between the hills of sand Being grateful to Allah was the Prophet’s demand spreading Peace through the streets of Madinah Madinah tun-Nabi! Madinah tun-Nabi! The City of the Prophet is like home to me! I’ll travel through the world, but I doubt that I will see a city with such wonder as Madinah Now the narrow winding roads are so full of history streets shake with the adhan from Masjid un-Nabi I feel the shadow of the Prophet gently cooling me as I walk through the streets of Madinah Madinah tun-Nabi! Madinah tun-Nabi! The City of the Prophet ...

Main To Sarkar Tora Deewana

Main To Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tora Deewana Ab tou Taiba bula lo ja na na Jaam per jaam ho ata mujh ko Rahey abaad Tera Maykhaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Tere ghar baar ki ye azmat hya Aae Jibreel bhi ghulamaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Bheek lene Tere Madina say Aate hain baadshah faqeeraana Ab tou Taiba bula lo ja na na Aap aae to ka’aba Qibla banna Warna pehlay tha wo sanam khaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Jaane waale Hazoor sei kehna Hijr mei jal raha hay dewaana Ab tou Taiba bula lo ja na na Aur baag-e-Panjtan ki khair ho Wasif Ho salaamat rahay ye Maykhaana Mein To Sarkar Tora Deewana Ab tou Taiba bula lo ja na na  

Main Nazar Karun Jaan O Jiigar

Main nazar karun jaan o jiigar, kesa lage gaa Rakhdu daar – e – Sarkaar peh sar, kesa lage gaa Aja’e mukadar seh meray, ghar joh shahedii Main kesa lagun gaa, meraa ghar kesa lage gaa Jaab duur seh hai itna haseen, Ghumbad – e – Hazra Is paar seh esa hai, udar kesa lage gaa Sarkaar neh dar peh tujhe, bulwaya hai maangte Jaab ko’ii mujhe deh gaa khabar, kesa lage gaa Jis haath seh likhun gaa, Muhammad ka qaseeda Us haath meh Jibre’il ka par, kesa lage gaa Ghaus – ul – waraa seh puchlo, ik roz yeh chaal kar Baghdad seh tayba ka safar, kesa lage gaa Aja’e mukadar seh meray, ghar joh shahedii Main kesa lagun gaa, meraa ghar kesa lage gaa Rakh loungaa imaame peh, joh na’alen – e – muqadas Shaho keh muqabil meraa sar, ...

Madinah Yaad Ayaa Hai

Mujhey Taybah main le jaao, Madinah yaad ayaa hai Meray Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko bulwaao, Madinah yaad ayaa hai Terii mehfil sajataa hoon, teray main geet gataa hoon Sar-e-mehfil chaley aao, Madinah yaad ayaa hai Main jetaa roz marta hoon, judaa’ii seh naheen saktaa Meray Aqa ko batlaao, Madinah yaad ayaa hai Merii tariiki-e-dil ka madawaa teraa aanaa hai Meray Aqa chaley aa’o, Madinah yaad ayaa hai Chaley hain qaafley Taybah akelaa chor kar mujh ko Mujhey Taybah main pohncha’o, Madinah yaad ayaa hai Teri furqat ne maaraa hai, terii rehmat saharaa hai Qariib-e-marg hoon aa’o, Madinah yaad ayaa hai Meray mayyat ko le jaanaa, Madinah paak main yaaro Mujhe Taybah main dafnaa’o, Madinah yaad ayaa hai Teri ummat ko mil kar ghairon se apno ne lut...

Madina Madina Hamaara Madina

Madina Madina, Hamaara Madina Hammay Jaan-o-dil say hay pyaara Madina Suhaana suhaana dulaara Madina Har aashiq ki aankhou ka taara Madina Madina Madina, Hamaara Madina Hammay Jaan-o-dil say hay pyaara Madina Sabhi Aashiq-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) keh rahay hain Hammay tou haI jannat say pyaara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Yeh rangeen fazaaein, ye mehki hawaaein Mu’attar, Mu’amber hai saara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Madine ke jalwaun ke qurban jaon Hai Qudrat nay kaisa saanwaara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Wahaan pyaara Kaaba, Yahaan Sabz Gumbad Wo Makkah bhi meetha tou pyaara Madina Madina Madina Madina Madina Madina Madina Hamaara Madina Hammay ja...

Maang Aray Maang

Rahmat ka hai darwaza khhula maang aray maang Deta hei karam un ka sada maang aray maang Aa ja-ai ga ik roz bhi Taibah se bulawaa Har waqt madine ki dua maang aray maang Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei Hai kiss liye khamosh khharra maang aray maang Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang  

Mein To Panjtan Ka Ghulaam Hun

Meh to panj than ka ghulaam hun Mujhay ishq hain toh Khuda sey hain, mujhay ishq hain toh Rasul hain Meray mun sey aaey mehak sada, joh main naan lun tera bhool sey Mujhey ishq sar-o-saman sey hain, mujhay ishq saray chaman sey hain Mujhay ishq Un ki gali sey hain, mujhay ishq hain Un key wathan sey hai Mujhay ishq hain toh Ali sey hain, mujhay ishq hain toh Hassan sey hain Mujhay ishq hain toh Hussain sey, mujhay ishq Shahe Zaman sey hain Meh toh panj than ka ghulaam hun Huwa keysay then sey woh sar juda, jahan ishq ho wohein Karbala Meri baath un hi ki baath hain, meray saamnay wohi zaath hain Wohi jin ho shayre Khuda kahein, jinhein baabe salli ‘ala kehein Wohi jin ko aale Nabi kahein, wohi jin ko zaathe Ali kahein Wohi pukhta hain mey tho khaam hun Meh toh panjtan ka ghulaam hun ...

Mein Sajdah Karun Ya Ke Dil Ko Sambhalun

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chokhat nazar aa rahi hain Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hain Do aalam ka daata mere saamne hei wo, Kaabe ka kaaba mere saamne hain Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein, khuda ki khudaii jhuki ja rahi hain Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein Farishte bhi barh kar qadam chuumte hein Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki jogan chali aa rahi hain Faqeeri ka mujh main nahiin hai saleeqa, na aata hai kuch maangne ka tareeqa Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hai Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo de...