Urdu Lyric

Praises of the Beloved (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Kamlii Walay To Talab Say Bhi Siwaa Daytay Heyn

Kamlii walay to talab say bhi siwaa daytay heyn Aa-ay mangta to wo sultaan bana daytay heyn Yaad kar lay jo koii dil say mayray aqa ko Taibah waalay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ussay Taibah mayn bula laytay heyn Daykhay koii to sada day kay mayray Madani (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko Pal mayn bigrri huii taqdeer bana daytay heyn Khulq esa to kisi hor nay or nay paya hi nahiin Dushman aaja-ay to chaadar bhi bichha daytay heyn Zikr karta he jo Sarkar kay mahbubon ka Mayray Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ussay mahbub bana laytay heyn Kartay heyn aakay karam shaah e do alam  (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)un par Jo bhi sarkar ki mehfil ko saja laytay heyn Koii aaja-ay agar jurmon pay naadim ho kar Mayray aqa ussay kamli mayn chhupa laytay heyn Gar koii naa...

Kadi Wich Khaab Dey Howey Nazarah Ya Rasulullah

Kadi wich khaab dey howey nazarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Chamak jawey meri qismat da tara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kisey nu maan duniya tey kisey nu hai ibadat tey Tey meynu sirf Aqa da sahara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Suna hai Aap har aashiq key ghar tashreef laatey hein Meray ghar mein bhi ho jawey charagha Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Gunahan di guman geydi dey wich geyrey pein kahndey ney Meri kashti nu mil jawey kinara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Hussain ibn-e-Ali da wasta meynu bacha leyna Huwey jis din amlaan ka natara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Laga takyah gunahon ka bara din raat sowthi hun Mujhay iss khaab-e-ghaflat sey chura lo...

Kismat Meri Chamkayi Hai Taiba Mai Bulaa Kar

Imaan e Ishq e Ahmed e Mukhtaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke baghair Mumkin nahi ke chat rahe deewaar ke baghair (Bayshak Subhan’Allah) Dono jahaan me chashme baseerat se dekhiye Kuch bhi nazar na aaega Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke baghair (Bayshak Subhan’Allah) Andazah isse kijye Unke Maqaam ka Kalmah na pura ho saka Sarkaar ke baghair (Allahu Akber Subhan’Allah) YA RABB qasam hai Tujh ko Tere hi Jalaal ki Nikle na dum Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Deedaar ke baghair (Ameen Ya Rabbe Zuljalaal) Sadqa Rasool e Pak (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay kirdaar hi ka hai Batil jo sar nigo huwa talwaar ke baghair (Bayshak Subhan’Allah) Altaaf Zikre haal zabaan se na kijiye Zahir hai sab Huzoor (salla Llahu ‘ala...

Kamli Waale Ki Mahfil Saji Hai

Rukh pe rahmat ka jhumar sajaa’ey Kamli waale ki mahfil saji hai Mujh ko mahsus youn ho raha hai Un ki mahfil main jalwha garii hai Naat husn-e-shah-e-do saraa hai Naat hi zikre rabb-e-jalli hai Naat likhna meri zindagi hai Naat kehna meri bandagi hai Mufliso tum agar chah’te ho Ho ziyaarat dar-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kii Dil ki janib nigaahein jhukaa lo Samne Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galii hai Mujh jo fikr-e-shifaa’at ho kyoun kar Do kariimoon ka sayah hai sar par Ik taraf rahmat-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai Ik taraf lutf-e-Rab-e- ’Ula hai Wuh smaa kissa zishan ho ga Jab khuda Mustafâ se kahein ge Ab to sajde se sar ko uthaa lein Aap ki sarii ummat barii hai Dil ke gulshan ki mehkein fizaa’ein Wajd main hain Niyaazi ha...

Kabhee Laichalo Mujhe Karbala

Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala Kia us pai hoga falak ghira Jahaan par Hussain (radi Allahu ‘anhu) ka tha Sar Kata Tha tabassum un kai zair-e-Lab Jab kar dya Kumbaa fidaa Tha ajab khilona vo teer bhee Jo Nanai seenai main tha lagaa Terai Sajdai ko karoon sajdai main Usai pyaar kitnaan karai Khudaa Teri iss ada pai naan reh saka Tujhai paas apnain bulaa lyaa Tera pyaar ban gayee us ki yaad Vo jiss kai agai tha tu jhukaa Choomoon main farsh-e-khaas ko Jis par vo paak Lahoo bahaa Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala  

Konain Dey Waali Da Darbaar

Konain dey waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da darbaar baraa sohna So Rab di Madinay da darbaar baraa sohna Duniya diya safara toh banda thak vi teh jaanda ey Par safar Madinay da har bar baraa sohna Sab rastey Madinay dey sanu jaan toh vaad pyaarey Jeraa roze nu jaanda’ey bazaar baraa sohna Mujhe Masjid-e-Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) di har cheez bari sohni Jeraa roze dey naal jure’a minaar baraa sohna Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jeya sohna aya’e na awna ey Na Rab ney banaya ey na Rab ney banawna ey Ungli nu hutawndey ney pey chan nu hilawndey ney So Rab di’ey chan falki Aqa da khilonaey Sarkar jeya sohna aya’e na awna ey Konain dey waali da darbaar baraa sohna Sadiq, Umar, Usman, Haydar toh mey vaari jaa Meray sohn...

La Ilaha Illallah

Chorus : La ilaha illallah, La ilaha illallah La ilaha illallah, La ilaha illallah Muhammadur RasulAllah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) La ilaha illallah, La ilaha illallah La ilaha illallah, La ilaha illallah Muhammadur RasulAllah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tarqtu ba bar-rajaa, Wannaasu qad raqadu Tarqtu ba bar-rajaa, Wannaasu qad raqadu Wa bittu ashku ilaa, Wa bittu ashku ilaa Mawla ya ma ajidu Chorus Wa qultu ya amali, Fi qulli na ibatan Ya man ilayhi li kash, Fiddurri atamidu Chorus Wa qad basat-tu yadi, Billa zil muftaki ran Ilayka ya khayra man, Ilayka ya khayra man Muddat ilayhi yadu Chorus Summa-salatu alal, Mukhtari mim mudari Summa-salatu alal, Mukhtari mim mudari Muhammadun Mustafa, Muhammadun Mustafa Muhammadun Mustafa, Ma mislahu ahadu  

Muhammad jo ro ker duwa maangtay hain

MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain KHUDA say KHUDA  jaane kya maangtay hain KHUDA  jaanay kya shay, jiss ko KHUDA ko Wo sajday may sar ko jhuka maangtay hain Kabhi baith ker iltaja ker rahey hain Kabhi haath uunchay utha maangtay hain Ilaahi  karam kar day Ummat pay Maire Wo kya aur iss kay siwa maangtay hain Yay wo der hay jiss der pay Khairaat aa ker Gada tou gada, Ambiyaa maangtay hain Yahaa milti hay deen-o-duniya ki raahat Issi der pay Shaah-o-gada maangtay hain Madinay main ay Nuur bulawaey Hazrat Dua hum yay subh-o-masa maangtay hain MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo ro ker duwa maangtay hain KHUDA say KHUDA  jaane kya maangtay hain  

Jitna Mere Khuda Ko Hai Mera Nabi Aziz

jitna mere khuda ko hai mera Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aziz konain me kisi ko naho ga aziz kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz khak-e-madina par Allah mout de wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi use sabhi pasand hai use sabhi aziz mangta ka haat utha to Madina hi ki taraf tera hi dar pasand teri hi gali aziz konain de diye hai tere iqteyaar me Allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz Quraan kha raha hai usi haat ki qasam hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz Taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu HASSAN mujh ...

Jaldi Ham Aazmi-E-Gulzar-E-Madina Honge

jaldi ham aazmi-e-gulzar-e-madina honge aazmi-e-dargah-e-sarkar-e-madina honge ab to noorani chaman zaar-e-madina honge samne ab mere kohsar-e-madina honge sabz gumbad ki waha khub bahare hongi rubaru phir mere minar-e-madina honge wajd aajaiga khismat ko bhi us dam walla samne jab mere Sarkar-e-madina (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) honge unki rahmat se jo miljai baqi-e-markhad bil haqeeqat qabr me anwar-e-madina honge hashr ka qouf na rakho aae ghulam-e-nabi apne haami waha sarkar-e-madina honge unko haasil mere aqa ki shafaat hogi jo koi hazir-e-darbar-e-madina honge mere sarkar ka aaiga bulawa unko jo koi dil se talab gaar-e-madina honge hashar me jainge ATTAR yu inshallah apni darhi me saje haar-e-madina honge  

Jashne Nabi Se Pyar Hai

Mubarak ho Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tashreef lei aye Abbhie Jibreal utre bhi na the Ka’abe ke mimbar se Ke itne mein sada ayi ye Abdullah ke ghar se Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai Hamme Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai Aamad hai mebhoob-e-Khuda ki Sab ka bera paar hai Tahashar sada gunje ghi youn sale ala ke tarane Aate hai Horu Malaik aamad ka jashane manane Seine pei tasveere Madina Rab pei darood kaha hai Mitha hai naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mithi hai in ki boli Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karne aye Nabiyoun ki toli Aalaane Khuda khud karta hai ye mera shahkaar hai Jab Rehmat ban kar aya wo Amina Bi ka pyara Hai donno jahan mein chamka wo...

Jo Shehr-E-Nabi May Jaey Ga

Jo Shehr-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna n...