Share This Post

Urdu Lyric

Jashne Nabi Se Pyar Hai

Mubarak ho Muhammad Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tashreef lei aye
Abbhie Jibreal utre bhi na the Ka’abe ke mimbar se
Ke itne mein sada ayi ye Abdullah ke ghar se

Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai
Hamme Jashne Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se pyar hai

Aamad hai mebhoob-e-Khuda ki
Sab ka bera paar hai

Tahashar sada gunje ghi youn sale ala ke tarane
Aate hai Horu Malaik aamad ka jashane manane
Seine pei tasveere Madina Rab pei darood kaha hai

Mitha hai naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mithi hai in ki boli
Deedar-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) karne aye Nabiyoun ki toli
Aalaane Khuda khud karta hai ye mera shahkaar hai

Jab Rehmat ban kar aya wo Amina Bi ka pyara
Hai donno jahan mein chamka wo Arsh bari ka tara
Mera Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Noor hedayat ka roshan minaar hai

Dar dar na jao gadao Sarkar se mang ke dekho
Gham mith jaye gei sare gham khaar se mang ke dekho
Dei de gein Hasnaain ka sadqa ye to sakhi darbar hai

Hazir Nazir hai Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bas ye mera imaan hai
Tum kalma par ke dekho kalma is ki pehchaan hai
Aane uthe ke dekh zara khud Rab ka ye iqraar hai

Wara faana la ka zikrak ki Quraan bhi sada deta hai
Rashid ye karam kya kam hai tu un ki sana karta hai
Pyar Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke karne wala Jannat ka haq daar hai

 

Share This Post

Leave a Reply