Urdu Lyric

Praises of the Beloved (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga

Dil may kissi ko aur basaaya na jaey ga Zikr-e-RASUL-e-Paak bhulaaya na jaey ga WO khud he jaan lain gay, jataaya na jaey ga Hum say tou apna haal sunaaya na jaey ga Hum ko jazaa millay gee MUHAMMAD (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) say Ishq ki Dozakh kay aas paas bhi laaya na jaey ga Kehtay thay yay Bilal(radi Allahu ‘anhu), tashadud pay kufr kay Ishq-e-NABI tou dil say nikaala na jaey ga Bayshak Huzuur Shafa-e-Mehshar hain Munkiroun kya Un ka saamnay Tumhay laaya na jaey ga Maanay ga UN ki baat, KHUDA hashr may Naseer Bin MUSTAFA KHUDA ko manaaya na jaey ga  

Qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai

qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai durood se mere dil ko rasad pohanchti hai ye aasmaan bhi wahan tak nahi pohanch sakta jahan tak aap k qadmon ki hadd pohanchti hai sir apna paaye risalat ma’aab per rakh doon to aasmaan pe bulandi-e-qadd pohanchti hai juloos-e-ishq-e-nabi ka ho jis taraf se guzar mere junoon ko bhi lay kar khirad pohanchti hai durood ka dia jata hai jub sawab mujhe bahisht tak meri do guz lahad pohanchti hai salaam-o-naat muzaffar yahan mein parhta hoon qubooliat ki haram se sanad pohanchti hai.

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dillan daa sahaara Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara. Dassan ki main Mustafa di kaydi sohnii shaan hai Aap di tareef which sara hee Qur’an hai, Parh kay tu weykh jeyra marzi sipaara Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara. Eyda sohna Nabi koi duniya tay aaya nahin Yaar ey ho jiyaa koyi Rab nay banaya naheen, Deed meray Nabi di hai Rab da nazaara Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara. Denday nay gawahi zaray zaray koay toor day Wekhday naseeban walay jalway Hazoor day, Aamina da chan tay Halima da dhulara Qassam Khuda di meinoon sab naloon pyara. Kar kay ishara sohna suraj noon morda Aapay chaan torda tay aapay chan jorda, Bigari banaway meray Nabi da ishaara Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara. Kehndi aye Heleema mukh wekh lajpal da Lab kay ...

Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei

Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei Usay chahay jisko, Khuda chahta hei sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam Durood un pe bhejo, salaam un pey bhejo Khuda ki kasam yeh khuda chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Khuda ki raza, Mustafa chahtey hain, Khuda Mustafa ki, raza chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Fakiroon kay malja, yeh mangta tumhara Madinay main thori sija chahta hei. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Banaley mujhey apna mehman Aaqa Yeh har aik shaho ghada chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Karey khuld hasil Habib e Khuda ka, Jo insaan kurbe Khuda chahta hai sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Agar koi apna bhala...

Dar Pe Bulawo Makki Madni

Dar pe bulawo makki madni, Bigri banawo makki madni, Deed teri hai, eid meri Deed karawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Mehshar me ho lab pe mere “‘Mujh ko bachawo makki madni” Dar pe bulawo makki madni Apne nawason ke sadqe Dukhre mitawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Gumbad-e-Khazra ke saaye taleh Mujh ko sulawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Mangta hu(n) me sawaali hoon, Ishq-e-Nabi ka pujaari hu(n), Thokaren khaata hu(n) dar dar ki, Dar pe bulawo makki madni, Bigri banawo makki madni Har saas me Madinah he, muskhkil ab mera jeena he, Dil mein tamanna hai Tayba ki, Dar pe bulawo makki madni, Bigri banawo makki madni Barso(n) say akhiya tarsi, Jalwa dikhawo makki madni, Dar pe bulawo makki madni Asdi gunaho me dooba huwa he Jaisa he nibhawo makki...

Hammay Apna Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Kehtey Hain

Hammay apna Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kehtey hain, Muhabbat ho tou aise ho Hammay nazrou may rakhtey hain, Inaayat ho tou aise ho Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pathar maarne waalo ko detay hain dua aksar Koi lao misaal aise, sharaafat hou tou aise ho Ishaara jab Woh (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) famaey, tou pathar bol uthtay hain Nabuwwat ho tou aise ho, Risaalat hou tou aise ho Wahaaa mujrim ko milti hain pahaei bhi jazaein bhi Madiney may jo lagti hay, adalat ho tou aise ho Maire Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki wilaadat per huwey sab ko ata detey Issey milaad kehtey hain, wilaadat ho tou aise ho Namaz-e-Asr ko qurbaan ker kay Un (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)) ki hasti per Ali Maula (radi Allahu ‘anhu) ne batlaaya, ibaadat ho ...