Welome to the blessed month of Rabi ul Awwal. In honor of this great event, we have collected five arabic nasheeds which are available to download in mp3. Maher Zain – Mawlaya | Vocals Only [wpdm_file id=1] [small_divider] Maher Zain – Assalamu Alayka | Vocals Only [wpdm_file id=3] [small_divider] Ahbab al-Mustapha – Mawlid Nasheed [wpdm_file id=5] [small_divider] Beautiful Arabic Nasheed – Allah Is The Most Forgiving & Merciful [wpdm_file id=4] [small_divider] Muhammad Al Muqit Rahat Nasheed – Arabic Nasheed [wpdm_file id=2]
Zarrey jharr kar tere payzaron ke Taaj-e-Sar bante hain Saiyaaron ke Hum se chorron pe jo farmayein karam Khil’ate zar bane pushtaaron ke Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka woh dar hai jis par Maathe ghiss jaate hain Sardaaron ke Mere ‘Isaa tere sadqe jaoon Tor be-tor hain bimaron ke Tere abru ke tassaduq pyare Band qurrey hain gariftaaron ke Jaan-o-dil tere qadam par waare Kya naseebe hain tere yaaron ke Siddique ki sadaqat -Zindabad! Farooq ki adalat – Zindabad! Uthmaan ki sakhawat – Zindabad! Haidar ki shujahat – Zindabad! Siddq-o-Adl-o-karam-o-himmat mein Char su shohrrey hain in chaaron ke Tere tasleem-e-‘Ali maidaan mein Sar jhukkey rehte hain talwaaron ke Kaise Aqaaon ka banda hoon Raza Bol baale meri Sarkaron ke Zarrey jharr kar t...
Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Aaqa aggar karam se Taiba mujhe bulaate, Roze par sadqe hota, Unn par nisaar hota. Mar mitt ke khoob lagti mitti meri thikaane. Gar Unn ki rahguzzar par, mera mizaar hota. Bechayn dil ko ab tak samjha bujha ke rakha. Baad iske ab to Aaqa nahin intezaar hota. Woh bekasson ke Aaqa, bekass ko ghar bulaate. Kyun sab ki thokarron par, parrh kar khwaar hota. Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ab to bulwa lo, mujh se mujrim ko bhi paas Apne. Main khud ko waar deta, bas khaak saar hota. Taiba main gar muyassar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basta, dil ko karaar hota. Aaqa ke qadmon mein gar, do gazz zameen hoti. Unn ke qareeb basta, dil ko sukoon hota. Khaak-e-Madinah hoti, main khaak saar hota. Kh...
Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai. Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya. Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai. Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam. Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai. Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se. Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai. Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka. Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka. Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka. Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka. Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye. Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai. Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar. Mustafa (salla Llahu ‘...
Shehr-e-Taiba ke chaman ki har kalli ki khayr ho. Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke Madine ki galli ki khayr ho. Su-e-Taiba jaa rahe hain kafile ushaaq ke. Har gadda-e-Mustafa ki hazri ki khayr ho. Maangte hain khayr aksar log apne waste. Mustafa ke labb pe hai, har ummati ki khayr ho. Aap ke Siddique ka rutba rahe baala sadda. Aap ke Shabbir o Shabbar, aur ‘Ali ki khayr ho. Jab Bilal-e-basefa ko kafiron ne di saza. Ishq bola tere ashiq ki ashiqi ki khayr ho Aap ko pohncha diya jab ghaar mein Siddique ne. Khud Khuda bola tumhari dosti ki khayr ho. Karbala mein haqq ada tune kiya islaam ka. Aaye ‘Ali ke Laal teri bandagi ki khayr ho. Likh rahe hain jo sana-e-Mustafa, Nasir sadda. Aise saare shayaron ki shayari ki khayr ho. Shehr-e-taiba ke chaman ki har kalli ki...
Das ni Haleema Saadia (radi Allahu ‘anha) kitho le aayi ay Sohna (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Laal. Akhiyan mazaagh al-bassar, Wa-layl de wingrhe (kundle) waal, Lukda phirda Chan asmaani, Wekh ke husn O jamal. Das ni Haleema Saadia, kitho le aayi ay Sohna Laal. Teri daachi si kamzoor barri, kiwein ho gayi ay shahzor barri, Tu lang gayi ay picche reh gayia, Tenu tak tak sochdi reh gaiya, Jad da Sohna Madni aaya eh, (Jad da Sawaar Haseen aaya) Teri ho gayi wakhri shaan (chaal). Das ni Haleema Saadia, kitho le aayi ay Sohna Laal. Oh bole taan farmaan (sultaan) bane, Odhe hont hillan Quran bane, ‘Allam nashrah laka sadrak. Warafa’na laka zikrak. Sohne di tareef karaan main, Jidda Wasif ay Zul Jalaal. Das ni Haleema Saadia, kitho le aayi ay Sohna Laal.