Har taraf anwar ki barsat hai, Mehfil-e-Sarkaar ki kya baat hai. Raat jo guzri Nabi kay zikr mein, Din se behtar woh hamari raat hai. Kyun mein mangoon jab mere kashkol mein, Naqsh-e-Naal-e-Paak ki khairaat hai. Kyun pareshan hoon mein uqhba key liye, Shafa-e-Rauz-e-Jaza woh Zaat hai. Wali-e-kaun-o-makaan kay zikr say, Wajd mein yeh sari kainaat hai. Yoon to gumbad hai jahaan mein har jagah, Gumbad-e-Khazra teri kya baat hai. Nausha-e-Bazm-e-Jina kay waaste, Anbiya ki saf ba saf baraat hai. Kis tarha likhoon main midhat Aap ki, Jab madha khawan khud Khuda ki zaat hai. Kis qadar Rehaan khush qismat hai tu, Teri bakhshish ka waseela Naat hai. Har taraf anwaar ki barsaat hai, Mehfil-e-Sarkar ki kya baat hai.
Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa Sab Noor ko Mila ke Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bana diya Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo De rahe hain farishte salaami Tum duroodo ki maala banaa lo Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo Apne mangto ko Wo paalte hain Wo bhala kisi ko kab taalte hain Sadqa Hasnain-o-Ghaus-ul-Waraa ka Ya Nabi meri jholi me daalo Aagayi Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo se sajja lo Kar ke Naaton se har soo charaagha Youn manaaeynge jashn-e-bahaara Aashiqo Aamad-e-Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai Deep Khushiyon ke har soo jala lo Aagayi Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki sawaari Apne ghar ko diyo se ...
Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein. Gham ki chaadar jo kabhi odh ke so jata hoon Jaagti rehti hai Aaqa ki tamanna dil mein. Uss ghari meri maddad karte hain mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jab bhi ho jati hai uljhan koi paida dil mein. Dil issi waaste reh reh ke dhadakta hai mera Kyunke rehte hain hamesha mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)dil mein. Eik eik cheez mujhe saabz nazar aati hai Bass gaya jab se sakhi Gumbad-e-khazra dil mein. Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein.
Lajpaal Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mere, Dardan di dawa dena. Jad waqt-e-naza aaye, Daaman di hawaa dena. Mar chalya haan ro ro ke, Wich hijr de mehbooba. Bechain nigahwaan noon, Deedar kara dena. Mar chalya haan ro ro ke, Wich hijr de mehbooba. Hun saanu wi aye Aaqa, Deedar kara dena. Khairat ata karna, Sarkar di marzi aay. Mera tay si kam mangna, Jholi nu wicha dena. Main naat Teri parhna, Main zikr Tera karna. Aes zikr di barkat naal, Meri qabr wasa dena. Sarkar di mehfil wich Jholiyan phela baithe. Lajj rakh layeen we Lajpaala! Khaali na utha dena. Dil rownda ay jaande ne, Jadon loki Madine noo. Hun saanu wi aye Aaqa, Darbaar wikha dena. Saim di tamanna aay, rahwe aake Madiney wich. Bhawe Taiba de kutteyan de, pairaanch bitha dena. Aasi di tamanna aay, Rahwe aake Madine...
Main to khud Unke Dar ka gadda hoon, Apne Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko main nazar kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon Aane waali hai Unki tareekh, Phool naaton ke ghar ghar saajja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamma jala doon Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka Dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon Mere aansu bahut qeemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai Khak-e-Madinah, Ye gauhar yun hi kaise lutta doon Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmayein kisko sadda doon Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha ho...
Mere Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) da Husn o Jamal SubhanAllah Nahi Sohne di koi misaal SubhanAllah Asi karna ey Aaqa da mil ke zikr Jeda chaunda ey jannat wich paawe shajjar Oh mil ke kahe mere naal SubhanAllah Mere Aaqa da Husn o Jamal SubhanAllah Nahi Sohne di koi misaal SubhanAllah Jab tak na bike ham koi poochta na tha Koi poochta na tha. Jinna Kaabe di chat te wi ditti Azaan Ditti azaan, haan ditti azana Ohdi saare ghulama cho wakhri ey shaan Mere Aaqa da Aashiq Bilal SubhanAllah Aashiq e Mustafa adhaan mein… Allah Allah kitna asar tha, dekho Allah Allah kitna asar tha Aashiq e Mustafa adhan mein, Allah Allah kitna asar tha Arsh wale bhi sunte jis ko Woh adhan thi adhan e Bilali Jinna Kaabe di chat te wi ditti Azaan Ditti azaan, haan ditti azana Ohdi saare ghulama ...