Jo Shehr-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna n...
Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Dikhado mujh ko rozah ka nazarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Meri duniya sanwar jaey meri ‘uqba sadhar jaey Agar ho jaey Rahmat ka isharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tumahara naam-e-naami hai sukoon-e-qalb ka ba’is Nazar ka noor hai rozah tumhara Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Zamanah choot jaey ruth jaey khalq to kya gham Na choote haath sey daman tumharah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Jabeen-e-showq mas hoti hai jab rowzah ki jaali sey Chamak jata hai qismat ka sitarah Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Tamana-e-Sikandar hai dam-e-aakhar Shah-e-Bat-ha Rahey wird-e-zuban kalmah tumhara ...
Jab Masjid e Nabawi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kay miinaar nazar aa-ay Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay Jiss waqt Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka darbaar nazar aa-ay Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay
Jis Taraf Chash’me Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Ke Ishaare Ho Gaye Jitne Zarre Saamne Aaey, Sitaare Ho Gaye Ya Muhammad Aap Ki Nazaro(N) Ka Yeh Ijaaz Hai Jis Taraf Nazarei(N) Uthi(N), Sab Tumhaare Ho Gaye May(N) Hoo(N) Aur Yaadei(N) Madinah Aur Hai Tanhaaiyaa(N) Apne Begaane Sabhi Mujh Se Kinaare Ho Gaye Apni Kamli Ka Zara Saayaah Inaayat Ho Mujhe Dil Ke Dushman Ja, Muhammad Dil Se Pyaare Ho Gaye Sabz Ghumbad Ke Ishaare, Sagar Marhaba Jag Maga Kar Zindagi Ke Maah Paare Ho Gaye
Jiss ka koii saani nahiin wo Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hamara hai Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki azmat ka had hei na kinaara hai Jo habeeb-e-daawar hei jo makeen-e-khizra hai Sayyida (radi Allahu ‘anha) ka baba hai, Amina ka pyaara hai Aap ki hi chokhatt ke ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) bikaari hein Aap hi ke tukrron pe ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) guzaara hai Zor par ho tufaan bhi or ddagmaga-ai nayya bhi Aap gar karam kar dain to saamne kinaara hei Iss umeed par mein bhi aa kharra hun chokhatt par Wo kabhi to poochain ge kon gham ka maara hai Bhoole na niyaazi kabhi bhool kar bhi yaad-e-Nabi Un ko bhool jaana hi asal main khasaara hai
Jitna diya Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne mujh ko, utnii merii aukaat naheen Yeh to karaam hai inka warnaa, mujh mein toh aisi baat naheen Tu bhi wahi par jake jahaa par, sab kii bigaree bar’tee hai Aik terii takdeer banana, inke liye kuch baat naheen Jo hai merii jaan-o-imaan, kya mein unki nazar karun Paas meray ashko keh ilawa, aur ko’ii sow’ghaat naheen Ishq shahe bad’ha seh pehle, muflis-o-hasta haal thaa mey Naam-e-Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) key mey qur’ban, ab woh meray haalat naheen Ghaur tuh kar Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki tujh par, kitnii haas inaayat hai Kausar tu hai inka sanahaan, Tahir tuh hai inka sanahaan, yeh ma’mulee baat naheen