Large Category

Madine ki Azmath Madine ke jalwe

Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jalw...

Aqa ko pukaar bandey

Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ko pukaar bandey, Aqa ko pukaar! Insha’Allah ho jaey ga tera beyra paar Kya kehna darbar Nabi ka ,uss ki shaan aali hai. Hargiz na mehroom woh lauta uss dar ka jo sawaali hai Aao chalain ham sooey madinah, chowr ke sab ghar bar. Un ke haath main kul kunji hai Rabb ne unain Mukhtar kiya Ham ko Un ka mangta banaya aur Un ko Sarkaar kiya Jo Sarkaar ke dar ka gada hai, woh khud hai mukhtar Thumma dana fatadallaa ka mansab Sarkaar ko hasil hai Puhnch na paya koi uss jah, jo sarkaar ki manzil hai Asraa ki shab uznu minni Maulaa ki thi pukaar. Aala Hazrat ne ya Rabb yeh dars hamian sikhlaya hai Jo gustakh-e-khuda ya Nabi hai apna nahi woh paraya hai Haan aisey gustakhoon par hai Khaliq ki phatkaar Kiyun ghamgeen hai tu ay sayyed dar par who bulwain ...

MAKKI MADANI

Bighari banaao Makki Madani, Dar pe bulaao Makki Madani (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Iss mey muqadas noorani, ankho ka tara Makki Madani Deed teri hai eid meri, jalwa dikhaao Makki Madani Ham hai gunaho mey dobay huway, jeysay hai nibhaao Makki Madani Mehsharr mai ho lab peh yahi,ham ko bachaao Makki Madani Tootay dilon ki daanish hai, naam Tumhara Makki Madani Sadaqah apnay nawasoun ka, dukhray mitaao Makki Madani – O one from Makkah and Madinah I am in difficulty, help solve my problems O one from Makkah and Madinah Call me to your house O one from Makkah and Madinah Your name is noble and shining with light The star of our eyes O one from Makkah and Madinah It is like Eid when I gaze upon you Bless me with your vision O one from Makkah and Madinah We are all lost in sin H...

Khuda Ki Azmateein Kya Hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Mustafa jaane

Khuda ki azmateein kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane Maqame Mustafa kya hai Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)Mustafa jaane Sada karna mere bas mei tha main ne to sada kar di Wo kya dei gei main kya loun ga sakhi jane gadha jane Darana mujh ko to kyoun hai azaab-e-Kabbar se wahid Wahan Sarkaar aye gei khata jane atta jane Meri mathi Madine Paak ki Ra’ah mein poncha dena Kahan le jaye ghi is ko Madine ki hawa jane Kaha Jibreal ne Sidra talak meri risaaiy hai Hai kitni manzilein aage Nabi jane Khuda jane Hamme to shurkhru hona hai Aqa ki nigahoun mein Zamane ka hai kya Nasir bura jane bala jane  

Kaabe Ke Badrudduja

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood Taiba ke Shamsu d-Duha tum pe karoron Durood Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood Daafa’e jumla balaa tum pe karoron Durood Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa Seene pe rakhdo zaraa tum pe karoron Durood Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa Jab na Khudaa hi Chupaa tum pe karoron Durood Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj Koyee bhi aisa huwa tum pe karoron Durood Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah Tum kaho Daaman me aa tum pe karoron Durood Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees Tum ho to phir khauf kya tum pe karoron Durood Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen Banda he tanha Shaha tum pe karoron Durood Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki Koyi kami sarwaraa tum pe karoron Durood  

Aaya Ramzaan Ka Mahina Khafila Chala Soo-E-Madina

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina R...