Hai dil mein ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka jalwa.
Nazar mein Murshid samaa rahe hain.
Hamaare Murshid hamaare aangan
Mein aaj tashreef laa rahe hain.
Hamare Murshid ke sab sawali
Koi gaya aaj tak na khaali
Gadda nawazi ki shaan yeh hai
Ke sab ki bighri bana rahe hain
Hai dil mein ishq-e-Nabi ka jalwa
Nazar mein Murshid samaa rahe hain
Hamaare Murshid hamaare aangan
Mein aaj tashreef laa rahe hain
Zaroor faiz-e-karam milega
Zaroor dil ka chamman khilega
Hum apne Murshid ki aaj
Mehfil sajja rahe hain.
Hai dil mein ishq-e-Nabi ka jalwa
Nazar mein Murshid samaa rahe hain
Hamaare Murshid hamaare aangan
Mein aaj tashreef laa rahe hain
Hai Unke sar par Ali ka Saya
Nabi ne hind ul wali banaya
Jahaan se Murshid hamaare guzre
Woh raaste jagmaga rahe hain
Hai dil mein ishq-e-Nabi ka jalwa
Nazar mein Murshid samaa rahe hain
Hamaare Murshid hamaare aangan
Mein aaj tashreef laa rahe hain
Yehi to miraaj-e-arzoo hai
Buland darwaza rubaru hai
Dar-e-aata par pohonch kar Wasif
Hum apni palkhein bicha rahe hain
Hai dil mein ishq-e-Nabi ka jalwa
Nazar mein Murshid samaa rahe hain
Hamaare Murshid hamaare aangan
Mein aaj tashreef laa rahe hain